Jab gham-e-shabbir mein sub, mubtila ho jaayenge (x2) Kashtiy-e-insaniyaat ke, nakhuda ho jaayenge. Jab gham-e-shabbir mein sab
Is liye hotay hai jaa ke, karbala mein sajda re Is liye hotay hai jaa ke, karbala mein sajda re Khaaq ho kar ek din hum kimiya ho jaayengayyyyy Jab gham-e-shabbir mein sub.
Majlisi tehzeeb sikhlati hai qadray zindagi Majlisi tehzeeb sikhlati hai qadray zindagi Be-adab jo hai adab say aashnaa ho jayengayyyyy Jab gham-e-shabbir mein sub
Inkay sadqay mein to paayi hai seratay mustaqeem Inkay sadqay mein to paayi hai seratay mustaqeem Hum gham-e-shabbir say kaisay judaa ho jayengayyyyy Jab gham-e-shabbir mein sub
Bay naway-e karbala ka saath do aai saathiyo Bay naway-e karbala ka saath do aai saathiyo Rafta rafta sub mukhaalif humnawaa ho jayengayyyyy Jab gham-e-shabbir mein sub
Jab chalay abbas dariya par to zainab ne kahaa Jab chalay abbas dariya par to zainab ne kahaa Chal basay tum bhi to hum phir be-ridaa ho jayengayyyyy Jab gham-e-shabbir mein sub
Kyaa khabar thi kalmago dhaayenge aisay bhi sitam Kyaa khabar thi kalmago dhaayenge aisay bhi sitam Be-rida balway mein aalay mustafa ho jaayengayyyyy Jab gham-e-shabbir mein sub |