shabe zarbate maahe ramzan ali ka ye kehna hai ye zindagi baad e zehra ba khuda shakista hai aah tere baad ay zehra mai dil soz o shakista mai dil zaar o girafta
khuda nigeh daar ke mai musafir e shab zinda daur khuda nigeh daar ki mai paykare dil-figaar ya ali, ya ali...
roz o shabe veerani zindagi ye zindani zindagi ye baad e zehra ba khuda nahi kat-ti khuda nigeh daar ke mai musafir e shab zinda daur khuda nigeh daar ki mai paykare dil-figaar ya ali, ya ali...
haaye dard e dil mere jo ali na keh paaya raaz wo liye dil may ja raha hai ay dunya kal na salooni sunoge kal na salooni kahunga mai chala suye kirdigaar khuda nigeh daar ke mai musafir e shab zinda daur khuda nigeh daar ki mai paykare dil-figaar ya ali, ya ali...
wo ali hoon jango may jisne maut ko ghera fatima ki furqat may zabt khogaya mera haye tere baad ay zahra haye veeran hai dunya mai chala suye kirdigaar khuda nigeh daar ke mai musafir e shab zinda daur khuda nigeh daar ki mai paykare dil-figaar ya ali, ya ali...
haye fatima zehra sabr kaisa paaya tha raaz zakhmi pehlu ka mujhse bhi chupaya tha mai kabhi bhool na paaya wo tera pehlu shakista mai chala suye kirdigaar khuda nigeh daar ke mai musafir e shab zinda daur khuda nigeh daar ki mai paykare dil-figaar ya ali, ya ali...
is sitam ne ay zahra kitna mujhko rulwaya mai ali tha aur tera haq na mai dila paaya haye tu dukhtar e aaqa aur darbar may jaana mai chala suye kirdigaar khuda nigeh daar ke mai musafir e shab zinda daur khuda nigeh daar ki mai paykare dil-figaar ya ali, ya ali...
aa raha hoo ay zahra mai bhi jaanib e manzil khuda haafiz o naasir mai chala suye qaatil kal mera aakhri kalma fuzto be rabbil kaaba mai chala suye kirdigaar khuda nigeh daar ke mai musafir e shab zinda daur khuda nigeh daar ki mai paykare dil-figaar ya ali, ya ali... |