Ab bhi Sajjad(as) ki aankhon se lahu jaari hai Nange sar shaam kyun gayi Zainab(sa) yehi Sajjad(as) ki beemari hai
1)Shami laeen saray pathar gira rahe the Qaidi yateem bachay aansoo baha rahe the Chaaro janib sharabiyon ka hajoom khoon roey khara muhari hai
2)Gardan mein tauk bhari aur paon mein chaalay Ghairat mein khoon roye zanjeer kya sambhalay Tumko ummat ne Saniy-e-Zahra(sa) berida bheer se guzari hai
3) Fizza(sa) ke peeche Zainab(sa) khutbay suna rahi thi Syedaniyo pe ummat pathar gira rahi thi Jurm kya tha Ali(as) ki beti ka iske sar se rida utari hai
4) Dekha jo rasiyon mein Fizza(sa) ko habshiyon ne Darbar hila dalaa Zainab(sa) ki siskiyon ne Uska koi bhi madadgar nai haye ujri ki ye lachari hai
5) Akhtar ka har ik noha Maula(as) ki inayat hai Seenay pe karay matam jo momin ki ibadat hai Humko jannat mein le ke jaye gi meray Maula(as) ki pursadari hai |