Tha ye Bano ka bayan, kis ko doon ab lorian Dhoondti phirti hay maadar hay mera Asghar kahan
Tera jhoola jal gaya, aey meray tishna dahaan Dhoondti phirti hay maadar hay mera Asghar kahaan
Haey woh nazuk gala, teen din se khushk tha Barhh ke moj e teer ne wo, kis qadar zakhmi kiya Tar hui khoon se zabaan, le sakay na hichkiyaan Dhoondti phirti hay maadar hay mera Asghar kahaan
Khoon bhara kurta tera, haey wo bhi chin gaya Ab jiyon kis ke saharay, paas meray kiya raha zindagi hay raegan, umar bhar hoon noha khawan Dhoondti phirti hay maadar hay mera Asghar kahaan
Khaali jhoola dekh kar, aey meray noor e nazar Ankh faryadi hay meri, aur rota hay jigar Soo gaye ho tum kahan, chain paya kaisay maa Dhoondti phirti hay mada hay mera Asghar kahaan
May musafir Shaam ki, khatm had aaram ki Qaid ho kar ja rahi hoon, gard hay aalam ki Bandh chuki hain rassiyan, ham kahaan ab tum kahaan Dhoondti phirti hay maadar hay mera Asghar kahaan
Jaam ashkon ke piyo, aaj ki shab soo rahoo Umr lag jaye hamari, tum yuhin jeetay rahoo Tum pe qurbaan meri jaan, aey qarar e be-kasaan Dhoondti phirti hay maadar hay mera Asghar kahaan
Mir kiya Rehan kiya, jis ne ye Noha suna Ashk ankhon se baha kar, us ne ro ro kar kaha Haey wo Asghar ki maa, Uff wo tera imtehaan Dhoondti phirti hay maadar hay mera Asghar kahaan
|