Mere baba ke azadar Vaada hai sakina (sa) ka aey sheh (as) ke azadaaron Meray vaasta (x3) Tum mera vaasta daikar, meray ammu ko bulaana Meray Baba kay Azadaar pareshaan na ho Tumhein har ghum say museebat say bacha laaeingay Do mera wasata Abbas chaley aaeingay Hai madadgaar Alamdaar pareshaan na ho Meray Ammu ka Alam ghar mein sajaey rakhna Haan sada Karbobala dill mein basaaey rakhna (x2) Main duaa karti hoon so baar pareshaan na ho Meray Ammu meray Baba ka hai saaya tum par Ta qayammat rahay rehmat yeh khudaaya tum par Ghumme Sarwar kay talabgaar pareshan na ho Jo uthatay hain sada meray chacha ka parcham Jo bhi karta hai jahaan meray padar ka maatam Meray Ammu kay wafadaar pareshaan na ho Meray bhaiyya Ali Akbar ka hai sadqa jo jawaan Unko milti hai khuda aur Mohammad ki amaan Ho agar barsaray paikar pareshan na ho Jo nahin sahibe aulaad sunnay woh behnay Vasta Asghar-e-Besheer ka daikar maangay Bus duaa mangay dilafgaar pareshaan na ho Aanch aaey na kabhi majlis o matam pay sunno Tum yazeedo kay lieay aahani deewar bano Hoga Allaha madadgaar pareshan na ho Jo Azadar sarre Rahe Khuda Qatl huay Chadar-e-Fatima Zahra kay hain un par saeey Yeh shahedeen kay hain ansaar pareshan na ho Adeeya, Saania, Mahum pay ata-e-Zehra Kash Safdar yeh kahein hashr mein khud Masooma Teray maqbool hai ashaar pareshan na h |