Bas Aik Janaza Baaqi Hai (X2) Aajaye Imam-e-Zaman Abhi, Bas Aik Janaza Baaqi Hai (x2) Aajaye Imam-e-Zaman Abhi, Bas Aik Janaza Baaqi Hai , Sab lashe uthakar lekeh gaye, Shabbir ka lasha baaqi hai
Wo burz aur teero se na pathar kitna tardpa Zehra ka pisar Hai jism zameen par karbal ki, aur sar hai noke nayza par Garden hai qati qible ki taraf, Wo aakhri sajda baaqi hai
Kahta hai koi mazloom hame, koi to chahe wala hai Jo adl se duniya ko bhar de, aisa koi aane wala hai Har qoum ki ek ummeed hai bus aye deen ka sahara baaqi hai
Sab ahle aza maanga ab,ho jaaye zahoor abhi logo Athara baras ka ek jawaan, dam tordh raha hai deko to Sehra akbar ke sar pe saja , wo qaaishe sughra baaqi hai
Aako mein imam-e-asr ke hai, wo sham e gareeba ka manzar Naize ki anee se cheeni gayi zehra ke beti se chaadar Naize se jo sar pa zakm laga, us zakhm ka badla baaqi hai.
Wo waasib tha darbare shaqi wo, manzil shaam aur kufa ki Zehra se fiddak ko cheena gaya, zainab se chaadar cheeni gayi Dono darbar thay zalim ke, dono ka badla baaqi hai.
Ek laash hai qaima-e-qaibat mein, ek pal maula ko qaraar nahi Kis karb se maula kahte hai, naser mera taiyaar nahi, Wo laasha-e-sheh ke tukde hai, taboot uthana baaqi hai.
Maae phupiya hai saat qaadhi, hai sar ko jhukaaee gairat se Nabiyo valiyo to sakta hai Sajjad ke gham ki shiddat se Yeh shaam ki galiyo se guzarna hai, darbaar mein jana baaqi hai
Saaye mein kabhi nahi aati hai, maa qaali jhula jhulati hai Pamaal lahad ki baqaiye se zehra ki saada yeh aati hai Pyaasa hai ali asghar ab bhi , mohsin ka badla baaqi hai
Rone nahi dete baba ko hai koaf sakina par tariff Zindaan se sakina mar bhi gayi, kaano se khoon ab bhi jaari Wo shimr ke muh par lagna hai, har aik tamacha baaqi hai
Be maqna aur chaadar ahle haram, hai kufa aur shaam mein mehva safar Yeh saatwe dar par zainab ne, sajaad ko phoocha ro ro kar Ab kitni manzil rahti hai ab kitna rasta baaqi hai, |