SarAllah Ya Saratul Hussain Ya Shaheed o Ya Mazloom Dhoop may tera lasha hay parra Ya Shaheed o Ya Mazloom
Tu jidhar hay us taraf haq ki rah - Ya Hussain, Ya Hussain Mil gayi Kaabaaay ko sajda gah - Ya Hussain, Ya Hussain Mil gayi Kaabaaay ko sajda gah Sar jo naizay par utha hay tera Ya Shaheed o Ya Mazloom SarAllah Ya Saratul Hussain
Murtajiz Zainab ke pas aa gaya - Ya Hussain, Ya Hussain Aakhri lamhy-mey Shahe Huda - Ya Hussain, Ya Hussain Aakhri lamhy-mey Shahe Huda Khoon bhari ankhon-se kya keh diya Ya Shaheed o Ya Mazloom SarAllah Ya Saratul Hussain
Aayain gay jis din Imam e Zamaan - Ya Hussain, Ya Hussain Le ke Abbas e jari ka nishan - Ya Hussain, Ya Hussain Le ke Abbas e jari ka nishan Aur labon par hoo gi ye sada Ya Shaheed o Ya Mazloom SarAllah Ya Saratul Hussain
Be kafan taira tan e pak hay - Ya Hussain, Ya Hussain Khoon hay sahraa ki khaak hay - Ya Hussain, Ya Hussain Khoon hay sahraa ki khaak hay Dhoop may tera lasha hay parra Ya Shaheed o Ya Mazloom SarAllah Ya Saratul Hussain
Ahl e dil ye silsila na rukay - Ya Hussain, Ya Hussain Ansoyon ka toofan na thamay - Ya Hussain, Ya Hussain Ansoyon ka toofan na thamay Ashk hain zakhmo ki teray dawa Ya Shaheed o Ya Mazloom SarAllah Ya Saratul Hussain
Loh o kursi ho gaye noha gar - Ya Hussain, Ya Hussain Gir gaya lo aasman khaak par - Ya Hussain, Ya Hussain Gir gaya lo aasman khaak par Zulm se jab sar zameen par gira Ya Shaheed o Ya Mazloom SarAllah Ya Saratul Hussain
|