1) Nana teri Zainab nai who dard uthain hain Zalim ka zulam dekha Anso nikal aayai
2) Mai Shaam ki galiyon sai sar nangai guzar aayi Nana teri ummat nai din yai bhi dikhayai hai n
3) Pathar jo barastai thai Zehra kai gharanai per Is haal pai suraj nai khud ashk bahayai hai n
4) Yai khoon bhara kurta hai terai nawasai ka Bhahi ki nishani ham terai liyai laayai hain
5) Gham kha gaya Zainab ko nana Ali Akber ka Mat poocho watan mai ham kis terha sai aayai hain
6) Zindaan kai andhairai mai neend aai Sakina ko Ham Qabar Sakina ki wahan chor kai aai hain
7) Soghat-e-safar na na pardais sai ham qaidi Yai neel rasan kai hain jo shano pai layain hain
|