Shab-e-Zarbate Maah-e-Ramzan
Efforts: Syed Hammad RazaShabe Zarbate Mahe Ramzan,
Ali (As) Ka Yeh Kehna Hai,
Ye Zindagi Baad -E- Zehra (S.a.)
Ba Khuda Shakista Hai,
Aah Tere Baad Ay Zehra (S.a.),
Mai Dil Soz - O- Shakista
Mai Dil Zaar -O- Girafta

Khuda Nigeh Dar Ke Mai Musafir -E- Shab Zinda Dar
Khuda Nigeh Dar Ki Mai Pay Kare Dil Figaar

Yaa Ali (A.s.) .....(14)

Roz -O- Shab -E- Veerani
Zindagi Ye Zindani

Ya Ali (A.s.)…..(3)


Roz -O- Shabe Veerani
Zindagi Ye Zindani

Zindagi Ye Baad -E- Zehra (S.a.)
Ba Khuda Nahi Kat Ti,
Khuda Nigeh Dar Ke Mai Musafir -E- Shab Zinda Dar
Khuda Nighe Dar Ki Mai Pay Kare Dil Figaar


Khuda Nigeh Dar Ke Mai Musafir -E- Shab Zindea Dar.....
Khuda Nigeh Dar Ki Mai Pay Kare Dil Figaar.....

Yaa Ali (A.s.).....(4)

Haaye Dard -E- Dil Mere
Jo Ali (A..s) Na Keh Paaya
Raaz Woh Liye Dil Mein
Ja Raha Hai Ay Dunia
Kal Na Salooni Sunuga
Kal Na Salooni Kahunga
Mein Chala Sue Kirdigar

Khuda Nigeh Dar Ke Mai Musafir -E- Shab Zindea Dar.....
Khuda Nigeh Dar Ki Mai Pay Kare Dil Figaar.....

Yaa Ali (A.s.).....(4)

Wo Ali (As) Hun Jungoo Mein
Jisne Maut Ko Ghera
Fatima (Sa) Ki Furkat Mein Zabt Khogaya Mera
Haaye Tere Baad Ay Zahra (S.a.)
Haaye Veeran Hai Dunia
Mai Chala Suwe Kirdigar

Khuda Nigeh Dar Ke Mai Musafir -E- Shab Zindea Dar.....
Khuda Nigeh Dar Ki Mai Pay Kare Dil Figaar.....

Yaa Ali (A.s.).....(4)

Haaye Fatima Zehra (S.a.),
Sabr Kaisa Paaya Tha
Raz Zakhmi Pehlu Ka,
Mujhse Bhi Chupaya Tha,
Mai Kabhi Bhool Na Paaye Woh
Ter Pehlu Shakista
Mai Chala Suwe Kirdigar

Khuda Nigeh Dar Ke Mai Musafir -E- Shab Zindea Dar.....
Khuda Nigeh Dar Ki Mai Pay Kare Dil Figaar.....

Yaa Ali.....(4)Is Sitam Ne Ay Zahra (S.a.)
Kitna Mujhko Rulwaya
Mai Ali (A.s.) Tha Aur Tera
Haq Na Mai Dila Paya
Haaye Tu Dukhtar -E Aaqa
Aur Darbar Mein Jaana
Mai Chala Suwe Kirdigar

Khuda Nigeh Dar Ke Mai Musafir -E- Shab Zindea Dar.....
Khuda Nigeh Dar Ki Mai Pay Kare Dil Figaar.....

Yaa Ali.....(4)

Aa Raha Hoon Ay Zahra (Sa)
Mai Bhi Janib -E- Manzil
Khuda Haafiz -O- Naasir
Mai Chala Suwe Qatil
Kal Mera Aakhri Kalma
Fuz To Be Rabbil Kaba
Mai Chala Suwe Kirdigar

Khuda Nigeh Dar Ke Mai Musafir -E- Shab Zindea Dar.....
Khuda Nigeh Dar Ki Mai Pay Kare Dil Figaar..... Yaa Ali.....(4)

Mai Chala Suwe Qatil, Mai Chala Suwe Haasil, Mai Chala Suwe Manzil, --2
Mai Chala.