Talwar keh rahi hay kisi roza daar se Sar ko bachaiye sitam e bad shoaar se
Jis ka khayal tha waheen talwar parr gayi Jis may Imam surkh hua khoon ki dhaar se
Zalim ki tegh nay kia bagh-e-Nabi tabah Doar e khizan lipat gaya barrh kar bahar se
Farq e Imam e Paak tha Quran se bhi siwa Eeman kat gaya bin e Muljim(la) ke waar se
Dekha jo betiyon ne pidar ko lahoo may gharq Ansoo tapak parray nigah-e-intezar se
Gul ho gaya charagh e Imamat qareeb e subh Dunya siyah ho gayi zaalim ke waar se
Asaar e marg dekhay jo Zainab ne Shah par Dil ki ragain ulajh gayeen ashkon ke taar se
Zikr e Ali se Fazl hay jannat teray liye Mayoos kyon hay rehmat e Parwardigar se |