Jinka Nana Nabi Jinka Baba Ali (a.s) Jinki Maa Fatima (s.a) Jinka Bhai Hassan (a.s) Wo hain Maula humaray Hussain (a.s) (x2) Maula Madinay Walay (x4) Karbal mein agaye hein Karbal basanay walay Maula Madinay Walay (x2) Khaimay saja rahay hain waada nibhanay walay Maula Madinay Walay Karbal mein agaye hein Karbal basanay walay Maula Madinay Walay (x2)
-Ye dar wo pak dar he Jo Fatima (s.a) ka ghar he, Ye pyaray Mustafa (saww) ka Maula Ali (a.s) ka ghar he, Maqtal mein agaye hein Qur’an sunanay walay Maula Madinay Walay Karbal mein agaye hein Karbal basanay walay Maula Madinay Walay (x2)
-Islam ne pukara Qur’an ne sada di, Yasrab ka shahzada Yasrab ki shahzadi, Nikaly safar ko ghar se kalma bachanay walay Maula Madinay Walay Karbal mein agaye hein Karbal basanay walay Maula Madinay Walay (x2)
-Ro ro kay boli Sughra (s.a) Dil doobta he mera, Weeran kiya Madina Jangal me he basera, Mujh ko rula gaye kion khushiyan lutanay walay Maula Madinay Walay Karbal mein agaye hein Karbal basanay walay Maula Madinay Walay (x2)
-Damaad kay dularay Beti kay shahzaday Thay teen din kay pyasay sab phool Mustafa (saww) kay, Qatray ko hein yehi to darya bananay walay, Maula Madinay Walay Karbal mein agaye hein Karbal basanay walay Maula Madinay Walay (x2)
-Sab lut gayi kamai Akbar (a.s) ne barchi khai, Asghar (a.s) ne teer khaya Deti thi Maa duhai, Teeron kay saye me hein sajday me Janay walay Maula Madinay Walay Karbal mein agaye hein Karbal basanay walay Maula Madinay Walay (x2)
-Halmin ka isteghasa Jab de chuka wo pyasa, Awaz-e-Irjayi ne akar diya dilasa, Aa meray paas aja lashay uthanay walay Maula Madinay Walay Karbal mein agaye hein Karbal basanay walay Maula Madinay Walay (x2)
-Ik shor tha falak par Kehta tha Rab-e-Akbar, Jibreel (a.s) badalon ka jaldi bichao bistar, Jannat me arahay hein Qur’an bachanay walay Maula Madinay Walay Karbal mein agaye hein Karbal basanay walay Maula Madinay Walay (x2)
-Salman Aur Shanawar Khushbakht hon Ali Jee, Rehan ki tamanna Sarwar ki jo dua thi, Khidmat qubool kar lein Qismat bananay walay Maula Madinay Walay Karbal mein agaye hein Karbal basanay walay Maula Madinay Walay (x2) Khaimay saja rahay hain waada nibhanay walay Maula Madinay Walay (x4)
|