Zainab kai sath Fizza haey Shaam ja rahi hay Her gaam per zaheefa sadmain utha rahi hay
Ho shaam ho ya kufa Ghazi kay baad fiza Zehra key baityon ka parda bana rahi hay
Is din kai wastai hi maangi thi zindaigaani Yun keh kay tazianay mazloom kha rahi hay
**********DORAY ********** Paband rasan ho kai chali karbobala sai Sung Zainab o kulsom kai bazar may aayi So zulm sahai sar pay magar sath na chora Fiza nay zahifi main wafa khub nibahi **************************
Chora na zulm she kar Zainab ka sath is nay Zehra sai jo kiya tha wada nibha rahi hay
Bazar-e-sham ka hai Zainab ka sar khula h Sar ko jhukai Fiza aanso baha rahi hay
**********DORAY ********** Yaad aata hey Zahra kai janazai ko utha na Zainab ko who ghustak nigahon saiy bachana Yeh shaam kay bazaar sai aati hai sadaain Fiza ki wafaon ko na bhulai ga zamana **************************
Kandhay pai kal issi kai Zehra ka tha janaza Sung aaj Qaid ho kai zainab pai ja rahi hay
Jawad ashk khoon kai Sajjad kyun na roai Mulkai?? Waafa ki malka dunya sai ja rahi hay |