Veerani (x10), Zainab (sa) ko or rulai veeran gharun ki veerani (x2) Chalees gharun may ja ja ker kis kis ka soug mana’i Veerani, Zainab (sa) ko or rulai veeran gharun ki veerani Zainab ko or rulai
Ek aangan may Umm e Salma (sa) Sughra (sa) k aanso ponchay Dil per apnay pathar rakh ker BiBi (sa) say aa ker bolay Sughra (sa) uth ja inn rastun say ab koi nahi jo i Veerani, Zainab (sa) ko or rulai veeran gharun ki veerani Zainab (sa) ko or rulai
Ek aangan may Asghar (as) k liyay jalti hai dhop may dukhiya Ghar bhar ki nazr hai soraj per kb waqt ghroub ka hu ga Aur Maadar ko ye fikr hai k ye soraj doub na jai Veerani, Zainab (sa) ko or rulai veeran gharun ki veerani Zainab (sa) ko or rulai
Ek aangan may bemar pisr aankhun say khoon baha’i Bazarun ka her ik manzar ashkun may dhalta jai Sajjad (as) bohat sabir hai magar ab kitna sabr dikha’i Veerani, Zainab (sa) ko or rulai veeran gharun ki veerani Zainab (sa) ko or rulai
Ek aangan may Fizza (sa) baithi her lamha ye he sochay Ja ker Zahra (sa) ki turbat per kia baat kaneez ye bolay Kaisay Zainab (sa) darbar gai kia Zahra (sa) ko batla’i Veerani, Zainab (sa) ko or rulai veeran gharun ki veerani Zainab (sa) ko or rulai
Ek aangan may baithi hai maa Yaseen ka surah kholay Wo Zikr e Nabi (saww) k lafzun may hum shakal e Nabi (as) ko dhonday Rozay pay Nabi (saww) k a jaye jb yad Akbar (as) ki i Veerani, Zainab (sa) ko or rulai veeran gharun ki veerani Zainab (sa) ko or rulai
Ek aangan may Abdullah (as) or Zainab (sa) baithay hain tanha Wo Aun (as) o Muhammmad (as) k gham may ik dosray ko dein pursa Day daad pidr her hamlay per jb maadar jang sunai Veerani, Zainab (sa) ko or rulai veeran gharun ki veerani Zainab (sa) ko or rulai
Kal tak Akbar ik Zahra (sa) theen jo bain kia kerti theen Baba ki judai k gham may wo aahain bhara kerti theen Or aaj Bani Hashim k makan sub Bait ul huzn hain hi Veerani, Zainab (sa) ko or rulai veeran gharun ki veerani Zainab (sa) ko or rulai |