Meray baba ghar chalain ab sham dhal gayi aata nazar nahi
Efforts: Ali Imran

Meray baba ghar chalain ab sham dhal gayi aata nazar nahi
Baba ho tum kahan zakhmi hai ladali kano main dur nahi

1) Uth ker zara to dekho khaiyam jal gayain hain
Aalai nabi kai Baba yun waqt dhal gayain hain
Khiyam jal gayain ham qaidi ho gayai ab koi ghar nah
Ab Shaam Dhal Gayi Aata Nazar Nahi

2) Main chahati hun baba chumu tumhara mukhra
Phir main sunaun tum ko apna tamam duhkhra
Kaisai milun tumhain kis per main bosa dun milta who sar nahi
Ab Shaam Dhal Gayi Aata Nazar Nahi

3) Terai qatilon nai baba jab cheen li ridain
Yun shimr dai raha tha afwaj ko sadain
Luto tasalli sai ghazi nahi rahain ab koi dar nahi
Ab Shaam Dhal Gayi Aata Nazar Nahi

4) Jana hai shaam ham ko manzil bohat katan hai
Touqo Rasan main Qaidi Sajjad bai watan hai
Bahi hai na tawan aur toq hai garan thora safar nahi
Ab Shaam Dhal Gayi Aata Nazar Nahi

5) Mainai kahan kai zaalim na cheen goshwarai
Phir bhi mujhai laeen nai mun per tamachai marai
Main roti reh gayee us per magar huwa koi asar nahi
Ab Shaam Dhal Gayi Aata Nazar Nahi

6) Tauqir shah ka matam hai zindagi hamari
Binte Ali ki hasrat hai bandagi hamari
Sajjad ki qasam jeena fazool hai matam agar nahi
Ab Shaam Dhal Gayi Aata Nazar Nahi