Ya Zahra maadar jaan
Bizate qalbe nabi umme Abiha Zahra Tere baba ne tujhe rutba diya maa jaisa Jab utha shab ki siyahi me janaza tera Qabre sarkare do aalam se yeh aati thi sada
Yeh sada dete hai khud haath ke chhale tere Tune hasnain ko paala hai badi mehnat se Zeher Shabbar ko mila yu mila mehnat ka sila Khoon ugalte hue kehte the jigar ke tukde
Phir woh din aaya ke Sarwar ne Madina chorra Teri turbat hui viran basi karbobala Roze aashur azaane ali akbar sunkar Ghar ki dehliz pa baith hui sugra ne kaha
Ho gaya jang ka aagaaz sare karbobala Sabse pehle maidaan me gaya hur ka beta Bhai maara gaya fir hurbhi gaya sue jina Zakhm pe shah ne rumaal jo bandha toh kaha
Us taraf zainabe dilgeer yeh karti thi dua Mere farzand ho pyaase mere bhai pe fida Pur asar saaniye zahra ki dua hoke rahi Laash baccho ki jo dekhi toh yeh roke kaha
Loat kar aaya na sakkaae haram darya se Ho gae haath qalam teer kaleje me lage Ho gaya thanda alam sheh ki kamar toot gayi Torr kar kooza Sakina ne kaha rote hue
Ek kohram bapa khaimae sarwar me hua Ghar se atthara baras wala jo maqtal o chala Barchi akbar ke kaleje se jo sheh ne khaichi Haath seene pe rakha aur yeh akbar ne kaha
Door bano se hua haaye woh nanha bacha Loriya deti hai besheer ko ab khaake shifa Cheh mahine ke mujahid pe kayamat guzri Teer khakar ali asgar ke tabassum ne kaha
Sheh ne rehan rakha sajdae maabood me sar Shimr ka chalne laga sukhe gale par khanjar Yaad aane lagi maa aalame tanhayi me Rukh baqiyya ki taraf karke pukare sarwar |