Saye me sayyida ke, azadare rahenge (x2)
Jab hoga sawaa neze pe khurshido qayamat (x2) Saye me sayyida ke, azadare rahenge (x2)
Badhta hi chalaa jayenga shabbir ka matam (x2) Qaem jo gham-e-sheh ke, alamdar rahenge Saye me sayyida ke, azadare rahenge (x2)
Hum Qabr me sojayenge jab, be khaberi se (x2) Matam ki nishaa ruh, me bedaar rahenge Saye me sayyida ke, azadare rahenge (x2)
Har cheez ko duniya me fanaa hona hai Ek din (x2) Qayam ghame shabbir ke aasaar rahenge Saye me sayyida ke, azadare rahenge (x2)
Jannat me agar majlise shabbir na hogi (x2) Ham ehle azaa khuld se bezaar karenge Saye me sayyida ke, azadare rahenge (x2)
Ek baar zara naam-e-ali, leke to dekho (x2) Mushkil me madad gaar wo har bar rahenge Saye me sayyida ke, azadare rahenge (x2)
Be jaan khudao se kaha binte asad ne (x2) Kaabe me to ab haidar-e-karrar-e-rahenge Saye me sayyida ke, azadare rahenge (x2)
Zainab ka khule sar bhare darbar me jaanaa (x2) Sajjad isi dard se bimaar rahenge Saye me sayyida ke, azadare rahenge (x2)
Wo mashk ka chidna wo sakina ka bilakna (x2) Abbas ka sine pe, sadaa waar rahenge Saye me sayyida ke, azadare rahenge (x2)
rehan mera naama-e-aamaal hai nauha (x2) parwaanaye jannat mere ashraar rahenge Saye me sayyida ke, azadare rahenge (x2) |