1) Thay bain Sakina kay Abbas nahi aayey Derya pai aayai aaisay Abbas nahi aayey
2) Aisa to na hota tha jab tak thai Medinai main Kya Kerbobala Aayai Abbas Nahi Aayai
3) Dil wahi thi mainai hi baba sai rida ran ki Faryad karun kis sai Abbas Nahi Aayai
4) Jis terha sai niklai thai us terha Medinai ko Kis terha sai lotain gain Abbas Nahi Aayai
5) Aik main hi na thi piyasi bachai bhi to piyasai thai Kyoon rooth gayai mujh sai Abbas Nahi Aayai
6) Panchi hon ya manus hon her Shaam palatain hain Kia bat Khuda janai Abbas Nahi Aayai
7) Asbab luta sara khaimain bhi lutai sarai Dur cheenai gayai merai Abbas Nahi Aayai
8) Beemar bahtiji per nani si bahtiji per Kia kia na sitam tutai Abbas Nahi Aayai
9) Derbar kiya ???(araish??) aur qaidi rasan basta Chobees pehar guzrai Abbas Nahi Aayai
10) Keh dai koi Sughra sai ham bhoolai nahi tuj ko Hab kab kai ghar ajaatai Abbas Nahi Aayai
|