May day rahi hun tujhay dasht may sada Ghazi Teri Behan Ka Nahi Koi aasra Ghazi
Jalaye Khaiamay sitamgar ne cheen li chadar Hamaray haal pe roti hay Karbala Ghazi
1) Bas aik din main bahattar janazay dekhay hain Khud apni aankhon say pamaal lashay dekhain hain Ujarr gayi hun main karbo bala ke jangle may Baray Gham aaj yahaan aa ke may ne dekhain hain Huvi hay shaam-e-gharibaan nahi koi waaris Tu aa ke rok layeenon ki ab jafa Ghazi
2) Abhi bulati hun baba ko may sada day ker May be rida hun urrha do koi mujhay chadar Koi bhi haal pe meray taras nahi khata Aa meray ghaazi tu aa ker yeh deekh lay manzar Jalay khaiyaam nabi zaadiyan hain noha ghar Tujhay bulaati hain naamos e Mustafa Ghazi
3) Dayaar-e-Ghair hay charon taraf udaasi hay Siyah raat hay tanha Rasool zaadi hay Main jab bhi soch ke roti hun apni ghurbat par Meri ghareebi pe karbo bala bhi roti hay Madina chorr ke aayee teray saharay par Bulaoon kis ko sada doon kisay bata Ghazi
4) Huwi jo sham-e-gharibaan to raat roti hay Hamari pyaas pe nehr e furaat roti hay Main sochti hun yateemon ko kiya dilasa dun Sakina sun ke meri dil ki baat roti hay Meray jaree meray ghayoor bawafa Ghazi Teri behan hai sar e dasht be rida Ghazi
5) Tarrapti reh gayi Ghazi ki laash sahil per Yeh bain Zainab e muztar nay jab kiyay Safdar Tujhay qasam hay tu aa jaa meri madad kai liye Meri rida ke muhaafiz huwi main be chadar Lahu rulaye mujhay be rida ka sadma hay Parri hai sar pe meray khaak-e-Karbala Ghazi
|