Teri laash ko may Asghar dafnaoon ab kahaan Dhondhain gay tujh ko naizay charon taraf yahan
Jhoolay may ho raha hay kyun beqarar dekho Karwat badal raha hay kyun baar baar dekho Jab se suni hay is ne (x2) Akbar teri azaan
Tera mazaar beta hathon se may sajata (x2) Afsoos meray Asghar majboor tera baba Khuda hi mita raha hay (x2) teri qabr ka nishaan
Manzar ye dekhtay hi arsh e bareen hila hay Ghutno ke bal hay baitha chehray pe khoon mala hay Sabir Hussain jaisa (x2) leta hay siskiyan
Nazuk galay pe wazni jo teer seh gaya hay Rota nahi hay bas ye ghayyur sochta hay Khaimo se cheekh sun ke (x2) kaheen aa na jaye maa
Foaj e sitam ne dekhi taseer e khoon e Haider Dushman ko dekhtay hain Asghar yun sar utha kar Lab pe hay muskurahat (x2) chehray pe itminaan
Saqlain jab bhi hoon gay zaahir Imam e Aakhir Rutba milay ga aala sab hoon gay un ke nokar Asghar ke matmi aur (x2) Asghar ke noha khawan
|