Asghar ye teer kaise khinchay ga Hussain se Dekha na jaye ga tera chehra Hussain se
Baba ke pass aur sahara nahi koi Sab chal basay hain baqi hamara nahi koi Is waqt may bicharrtay ho beta Hussain se
Allah re ghareebi ye ibn e Ameer ki Ham se tumhari aakhri khidmat na ho sahi Badla gaya na khoon bhara kurta Hussain se
Karryal jawan ke seenay se barchi nikaal li Teray galay se teer nikalon ga may abhi Kia kaam sakht leta hay tanha Hussain se
May chup rahoon ya qabr pe Bano ko bhaij doon Aey meray be zubaan bata-o may kia karoon Madar jo poochay haal tumhara Hussain se
May hath khaali jaoon ga kis tarha meray laal Kia doon ga may jawab karay gi wo jab sawal Mangay gi apna bhai Sakina Hussain se
Sheh ne nikala teer to mehshar bapa hua Maqtal may har shaheed Takallum laraz gaya Rukhsat hua Hussain ka beta Hussain se
|