Aey Ali Asghar Maqtal maey baithi khaak par nauha-kuna hai maa Asghar ho tum kahan
Jhoola jala to jal gaeye armaan bhi mere May jee rahi thi ek hi hasrat liye huwe Dulha tumhaey banaungi jab hogaey tum jawan Asghar ho tum kahan
Bikhre huwe ye chand sitare zameen pe hai Zindan hi hai koi magar sab yahin pe hai Ek teri laash hi nahi laashon ke darmiyan Asghar ho tum kahan
Do char din bhi zinda nahi reh sakungi may Kitna teri ghareebi pe matam karoongi may Aey laal mere haathon ki khulwade rassiyan Asghar ho tum kahan
Maqtal se khaafile ko guzaara gaeya tha jab Pyaron ko apne dete thaey rokar sadaeyein sab Ye kehte kehte bandh gaeyi bano ki hichkiya Asghar ho tum kahan
Majlis wahin pe mir takallum bapa hui Maa turbate sagheer par kehti thi jis ghadi Jaata hai suye Shaam ab lutkar ye kaarwan Asghar ho tum kahan
|