Shabbir teray gham main har aankh bawazu hay Her dil main sog tera kai Khuda-e-Dard tu hay
1) Akber ki lash dekho ban main tarap rahi hay Kai rasool-e-Akharai ka yeh shabab hu bahu hay
2) Aain Kalim dekhain yeh kis nabi ka sar hai Naizai pai jo Khuda sai masruf-e-guftagu hay
3) Makhduma do jahan ko jhutladiya jis nai Derbar us laeen ka Zainab sai rubaru hay
4) Bach kai Zaheen rehna kuch log hain jahan main Dil Main Yazeediyat hai aur lab pai Allahu Hay
|