May Khak e Karbala hoon rutba mera juda hay Efforts: Ali Imran |
May Khak-e-Karbala hun rutba mera juda hay Bint-e-Ali nay mujh ko chadar bana liya hay 1) Mera naseeb aisai kudrat nai hai jagaya Khatoon kai pisar ki hai mehraban banaya Mera muala hona Shabbir ki ata hay 2) Akber jawan Qasim Ghazi sai chand tarai Zain-ul-Aba nai meri Aghosh main utari Yani lahu nabi ka mujh main mila huwa hay 3) Zehra ki baitiyon kai burkhai banai mainai Eeman kai mohsino kai lashai chupai mainai Misl-e-Janab-e-Ghazi meri zaat bawafa hay 4) Shohada-e-Basafa kai jismon ko mainai chuma Zehra ki baitiyon kai qadmon ko mianai chuma Is wastai hi meri taseer main shifa hay 5) Kertai hain rashk muj per kauthar kai bhi kinarai Zainab kai sar main mainai do saal hain guzarai Mera her aik zara her zulm ka gawah hay 6) Kaisai piyun batao main Al-Qama ka pani Piyassi luti hai muj per Qasim ki nojawani Muj per sagheer Asgher piyasa qatal huwa hay 7) Tauqir tu bhi ker lai aalai Aba ka matam Jo shaam main gayi thi us bai rida ka matam Mamnun matami ki makhduma Fatima hay |