ya hussain ya hussain Teray shahr se jate hain day humko dua nana Aabad karenge hum hae ab karbobala nana
Tera deen hai mushkil me mai kaise rahu ghar me Tifli me koi wada tha tujhse kiya nana
Rauze pe tere aake hum shamme jalate the Ho ab kaun mujawir hai sughra ke siwa nana
Is tarha parinde bhi maskann se nahi jaate Ghurbat me mujhe jaise hai ab jana pada nana
Bacche hai bahot chote garmi ka zamana hai Pohonchaega manzil per ab humko khuda nana
Amma ki lehad chuti rauza bhi tera chuta Is waqt kaleje per khanjar sa chala nana
Zainab tere rauze per beparda nahi aai Ab dekhegi sab sab duniya sar uska khula nana
Mere sath me jati hai masoom sakina bhi Pardes me howegi usper bhi jafa nana
Rehan larzta tha markad bhi payamber ka Shabbir jo kehte the mai marne chala nana
|