Teri Zainab nai tera deen bachaya nana Tarai Islam Pai Chadar Ko Lutaya Nana
1) Aaisai Guzri sarai bazar kai jahan sai guzri Thai tamashai teri aal jahan sai guzri Aai Pathaar bahi magar sar na uthaya nana
2) Tarai dushman ki raunat ko mitanai kai liyai Aur sotai huwai zahnao ko jaganai kai liyai Mainai Khutbaat sarai Darbar Sunya nana
3) Nana Zainab teri jis shehar ki Shahzadi thi Meri has saans merai haal pai feryadi thi Sar jhuka jaata the bazar jab aya nana
4) Kalma goyon nai mujhai sang bhi marai laikin Sham kai log musalman thai sarai laikin Koi pursda mujhai dainai ko na aya nana
5) Yeh mila ajar musalmano sai batlaun gi Aur yeh zakham main amma ko hi dikhalun gi Mainai bazun ka Nishan sab sai chupaya nana
|