Beemaar kya kare (x6)
Ummat jo ahle bait nabi par jafaa kare
Beemaar kya kareee (x2)
Rukhsat k waqt aake yeh bole shahe huda, Aabid main jaa raha hoon nahi koe bhi raha, Haatho ko apne jod kar sajjad ne kaha Gar hukm ho toh aaapkaaaa (x2) Beta vigha kare
Tukde hai naaseran-e-shahe karbala ke tann, Kamsin ke naazni ke kae akraba ke tann, Bikhre pade hue hai sabhi mahlaka ke tann, Sab mar chuke ho jiske woh (x2) Kaise jiya kare
Dhaate hai zulm abid-a-muztar pe ashkiya, Kya jaane kitna khoo tere zakhmo se beh gaya, Tauqe gira ke bojh se tann tut ta hua, Kehde koe hawaa se, (x2) Ke dheere chua kare
Purkhar raasto pe aziyat bhara safar, Sajjad sabro zabt ke tasveer hai magar, Saidaniyo ki sar ki taraf dekh ke agar. Aankho se aasuo ka (x2) Jo tufaan baha kare
Dil band shahe karbobala rokle kadam, Chhaalo ne phhoot kar yeh kaha rok le kadam, Ek pal ko saas le le zara rok le kadam, Lekin hai zidd sitam ke (x2) Musafir chala kare
Deen par pada jo waqt to, yeh sab khamosh hai, Islam ki buka ke liyea sab khamosh hai, Har zulm seh rahe hai magar lab khamosh hai, Jal jaaye kainat agar (x2) Bad dua kare
Dekha hai jisne kohe sitam tootte hue, Ghar lut gaya ho jis ki nigaho ke saamne, Woh jis ke saath ahle haram berida phire, Phir kyu na ta-hayaat woh (x2) Aaho buka kare
Saason ke dorr todd ke tum toh chale gaye, Duniya se muh ko mod ke tum toh chale gaye, Zindan me ham ko chodke tum toh chale gaye, Bolo sakina abide (x2) Bimaar kya kare
Bimaar pe nahif pe durro ke hai jafa Ya rab na toot jaaye ye saaso ka silsila, Zainab ne haat apne utha kar yeh ki dua, Ab mere ladle ki (x2) Hifazat khuda kare
|