Aey Sham e Ghariban kia bhai ki khata thi
Efforts: Ali Imran

Aey sham-e-ghariban
Kiya bhai ki khata thi aey sham-e-ghariban

1) Sab khaimay jal chukain hain chadar nahi hay sar per
Akber raha na Ghazi aey sham-e-ghariban

2) Seenay pay sonay wali khati hay ab tamachay
Had ho gaye jafa ki aey sham-e-ghariban

3) Jaltay huway gharon may jhula bhi jal gaya hay
Rota hay aasmaan bhi aey sham-e-ghariban

4) Ghash may perha hay Abid kaisay jagayey Zainab
Hay har taraf udasi aey sham-e-ghariban

5) Bay sar paray hain lashai Zainab kissay sada day
Looti gayeen ridain aey sham-e-ghariban

6) Bazu bandhay huay hain qaidi bani hui hay
Koofay ki Shahzadi aey sham-e-ghariban