Baba ki pyari Sakina Sham e ghariban hai ye Sakina kaash tumko neend aa jae Besar padar ka bann me tha nauha kaash tumko neend aa jae
Patthar badan se hatau too kaise Lori tumhe mai sunau to kaise Pehlu me so jao aye shahzadi Seenay pe tumko sulau to kaise Teeron bhara hai bistar tumhara
Beshir wapas jo aaya nahi hai Maine tumhe ye bataya nahi hai Lori sunai hai teeron ne usko Asghar ko maine sulaya nahi hai Tumko to lori dete hai baba
Us waqt mujhpe bhi mushkil badi thi Pehlu me madar ke sota tha mai bhi Mai jaanta hu ye mushkil hai kitna Bichdi thi jab mujhse dadi tumhari Mere liye bhi kehti thi zehra
Har taur khudko sambhalegi zainab Go tum jo royi to roegi zainab Tum bhi samajhti ho phir bhi kahunga Gar tum na soyi to jagegi zainab Zainab ki khatir so jao beta
Wo dekho kuch door soye hai akber Aun o muhammed hai soye waha per Aadat hai pehre me sone ki tumko Bibi muhafiz hai pure bahattar Charo taraf hai laashon ka pehra
Ik dher hai pattharon ka zami per Baithi ik bibi jiske barabar Aulaad ke gham me dube padar ki Aati hai jis se sadaein ye "akber" Jagogi kabtak meri sakina..... Kaash tumko neend aa jae....
|