Khoon me duba jalti zami per lasha e Sarwar parra hua hai Doobta suraj charr ke bari per jaam lahu ka bana hua hai
Farq e shahedeen katt gaya rann me Kaisa hua andher ye ban me Mehre imamat aaya grehan me hashr kahan ab ruka hua hai
Zainab e muztar ka tha ye nauha Kaisa ye din kismat ne dikhaya Aaha jo kal tak bhara hua tha aaj wahi ghar luta hua hai
Bali Sakina roe na kyu kar Khaye tamache chin gae gauhar Suje hue rukhsaro pa uske khun abhi tak jama hua hai
Koi nahi ye shimr se kehta Bali sakina ko na dein eza Uth gaya sar se baap ka saya iska bahot dil dukha hua hai
Rann me gaya tha jo shashmaha Teer gale per usne bhi khaya Ik dukhiyari maa ka kaleja nawak ke gham se dukha hua hai
Reham kisi ko usper na aaya Khaich ke bistar le gaye aada Haye mera bimaar bhatija gashme abhi tak pada hua hai
Uth gaye sab zehra ke dulare Tashna jigar kausar ko sidhare Koi nahi ab sar pe hamare humse zamana phira hua hai
Kaaqi hai imaan ki izzat Qayam hai arkaan e shariyat Anwar khun e sheh ki badaulat din e payamber bacha hua hai....
|