Woh Karbala ki Shaam hai Woh karbala ki shaam hai (x8)
Jis per hai zulm o jaur ki (x2) Har intehaa tamaam Woh karbala ki shaam hai
1. Woh Shaam jisko kalbe pareshaan kaha gaya Woh shaam jisko shaame gariba kaha gaya Woh shaam hai Husain ki (x2) Bekas behen ke naam
2. Woh shaam jiske rukh se tapakti thi bebasi Woh shaam jisme aale nabi be rida hui Woh shaam jispe rote (x2) Rahe umr bhar imam
3. Woh shaam jisme lut ta raha ghar Husain ka Kunba tadap raha tha shahe mashrakain ka Zulmo sitam ki aag me (x2) Jalte rahe khayaam
4.Woh sham jo ki aale Mohammed ke waaste Khole hui thi saare musibat ke raaste Jisko dia naseeb ne (x2) Rone ka sirf kaam
5. Woh shaam jisme kitne muqqadar bigadh gaye Bhai,behen se maao se bache bichadh gaye Deti thi zindagi bhi (x2) Jaha maut ka payam
6. Woh shaam jisme aadmi haiwaan bangaya Aale nabi ke bugz me shaitaan bangaya Woh zulm bhi kie ke jo (x2) The fitratan haraam
7. Woh shaam jispe ek qayamat guzar gayi Lamho me kitni sadiyo ki aafat guzar gayi Woh shaam jisme zulmo (x2) Sitam hogaya tha aam
8. Woh shaam jisme lut gaya qunba rasul ka Lamho me khaak hogaya gulshan batul ka Jisme koi kisi ko bhi (x2) Karta nahi salam
9. Woh shaam jisme thokare khaati thi bibiyaa Gurbat pe apni roti thi Zehra ki betiyaa Jiske Naseeb me hai (x2) Faqat aasu o ke jaam
10.Purse me har yatim ko milti thi ghudkiaa Baandhi gayi thi baazue Zainab me rassiyaa Jisme hua na aale (x2) Mohammed ka ehteraan
11. Khanjar gale pe sholo ki zad per makaan the Mehmaan karbala ke ajab mezbaan the Khaane ka intezaam na (x2) Paani ka intezaam
12.Irfan khune dil se yeh nauha likha gaya Us shaam ke naseeb me rona likha gaya Din bhar jo dekhti rahi (x2) Piyaaso ka katle aam |