Mehwe Dua hai Zahra, Takbeer woh sunaaye, mera Mahdi jald aaye X 2 Ek haath hai pehlu par, karti hain dua haye, ek haath woh uthaye
1. Aakar hisaab le woh, ummat se har sitam ka Jo usne ham pe dhaaye X 2 Mere hare k mujrim ko kabr se uthaaye, aur phir sazaa sunay
2. Baba ke baad mujhse, cheena mera Fadaq bhi Haqq maangne gayi toh X 2 Ilzaam jhooth darne, ke mujhpe kyon lagaye, joothe gawa banyein
3. Hasnain-e ke baba ki masnad pe aan bethain Aur aankhein kyun azaa se X 2 Hasnain-e ke baba ke kis mo laqab hatayein, kyun dardo gham bharaye
4. Mere hassan ko aakhir dafna ne na diya kyun Pehlu mein nana jaan ke X 2 Aur phir hassan ke, lashe par teer kyun chalayen, masmoom karke haye
5. Mehdi tera bulakar, ye hurmala se pooche Woh kya khata karenga X 2 Jo apni maa ko madar kehna na paaye, khud hurmala batayein
6.aasif dua ye maange, hum sheh ko ronay wale haathon ko ab uthaayein X 2 nusrat ko uski pohnche, jaise hi woh bulayein, apni sina uthaayein
|