Haey Mazlooma Fatima Zehra(sa)
Kaise sadmay tu ne bibi haey uthaey raat din Gar ye parr jate dino pe msil e shab ho jaatay din Haey Masooma(as) Fatima Zehra(sa)
Teri sachayi pe karta naaz hay Rabb e jaleel Ummati darbar may tu haey jhutlai gayi Haq nahi paaya Fatima Zehra(sa)
Teray dar par khud risalat jhuk ke karti thi salam Par nahi Ummat ne samjha teray is dar ka maqam Ghar jalaa daala, Fatima Zehra(sa)
Maaf kar do wali o Maula meray pyaray Ali(as) Aap ki khadmat jo poori kar na paoon ya Ali(as) Karti hoon naala, Fatima Zehra(sa)
Baad meray pyar se bachon ko rakhna ya Ali(as) Na kabhi mehsos honay dije ga meri kami Ro diye Maula(as), Fatima Zehra(sa)
Shab ki tareeki may mayyat ko meri le jana tum Shah Ali(as) un zalimo ko hargiz na aanay dena tum Teergi rakhna, Fatima Zehra(sa)
Baad meray Karbala may Sheh ki nusrat ke liye Ya Ali(as) farzand ik Abbas(as) hona chahye Karti hain ye dua, Fatima Zehra(sa)
Kehti hain Fizza ke bibi aey kaneez e ba wafa Teray zimmay Zainab(as) o Kulsoom(as) ko may ne kia Roti hain Fizza, Fatima Zehra(sa)
Zakhmi pehlu ko sambhalay roti hain dilgeer ko Janay kyun hasrat se takti rehti hain Shabbir(as) ko Sochti hain kia, Fatima Zehra(sa)
Seena e Shabbar(as) ko choomain aur kabhi Sheh ka gala Choom kar Zainab(as) ke baazo karti hain aah o buka Yaad aaya kia, Fatima Zehra(sa)
Zakhmi tan se zakhm e man se ghair halat ho gayi Waqt wo aaya ke bibi ki shahadat ho gayi Arsh tharraya, Fatima Zehra(sa)
Gham abhi bhoola nahi tha meray baba ka mujhe Ik naya gham mil gaya hay meray Mohsin ka mujhe Haey Mazlooma, Fatima Zehra(sa)
Zainab(as) o Kulsoom(as) o Fizza, Shabbar(as) o Haider(as) yahan Door koonay may kharray Shabbir(as) rotay hain wahan Maajra hay kia, Fatima Zehra(sa)
Kehtay hain Haider(as) kia madar ke qareen na aayain gay Bolay Sheh Amma bulayain gi hamain jo aayain gay Kia hay Rab ki raza, Fatima Zehra(sa)
|