Chal parra Karb o bala se jab Hussaini qafila Ik rasan may pusht e Abid(as) aur tha Baqar(as) ka gala Sans khanjar ki tarha mehsos jab honay lagi Apne baba jan se ruk kar ye Baqar(as) ne kaha Aey meray baba (x2) Rassi may gala hay Baqar(as) ka Toon holay holay chal baba (x2)
Mushkil hay safar mar jaoon ga (x2) Toon holay holay chal baba Aey meray baba (x2) Rassi may gala hay Baqar(as) ka Toon holay holay chal baba (x2)
Parrhni hay namaz e mazloomi Baba tu imamat karta ja Khud dhoop bhi ham pe roti hay Jalta hay mussala reti ka May shukr ka sajda kar loon ada Toon holay holay chal baba Aey meray baba (x2) Rassi may gala hay Baqar(as) ka Toon holay holay chal baba (x2)
Kulsoom(as), Sakina(as), Zainab(sa) hay Aur sath Ruqqaya(as) bibi hay Is aik rasan may aey baba Har umr ki Zahra(sa) qaidi hay Girti hay meri amma Fizza(as) Toon holay holay chal baba Aey meray baba (x2) Rassi may gala hay Baqar(as) ka Toon holay holay chal baba (x2)
Ab dhoop may itni shiddat hay Jaltay hain aseeri ke zewar Pani to nahi hay ansoo hain May un pe chirrak doon ga aa kar Aaram tujhe mil jaye ga Toon holay holay chal baba Aey meray baba (x2) Rassi may gala hay Baqar(as) ka Toon holay holay chal baba (x2)
Ankhon se rawan hay khoon teray Jo teri phuphi hay be parda Meri bhi phuphi hay be chadar Woh naam Sakina(as) hay jis ka Khinchta hay rasan se us ka gala Toon holay holay chal baba Aey meray baba (x2) Rassi may gala hay Baqar(as) ka Toon holay holay chal baba (x2)
Islam bachanay ki khatir Nikli hay sharafat be chadar Paoon ke chhalay rotay hain Chalti hay imamat kanton par Ye pehla safar hay Zainab(sa) ka Toon holay holay chal baba Aey meray baba (x2) Rassi may gala hay Baqar(as) ka Toon holay holay chal baba (x2)
Dekha nahi jata aey baba Mujh se ye qayamat ka manzar Rukti hay kabhi chalti hay kabhi Zainab(sa) ke badaltay hain teewar Ye Shaam ko jata hay rasta Toon holay holay chal baba Aey meray baba (x2) Rassi may gala hay Baqar(as) ka Toon holay holay chal baba (x2)
Gir gir ke jo chalti hay Zainab(sa) Mehsoos mujhe bhi hota hay Sajjad(as) pukaray aey beta Mera bhi kaleja phat-ta hay Jab sunta hoon tera noha Toon holay holay chal baba Aey meray baba (x2) Rassi may gala hay Baqar(as) ka Toon holay holay chal baba (x2)
Gar tez chala tou aey beta Bazar e sitam aa jaye ga Aahista agar beemar chalay Durron ki azziat paye ga Aur teray labon par hay beta Toon holay holay chal baba Aey meray beta (x2) Rassi may gala hay Baqar(as) ka Toon holay holay chal baba (x2)
Manzoor azziat hay mujh ko Baqar(as) ne Takkalum di ye sada Har kam may teri marzi hay Tu jaise chahay chal baba May ab na kahoon ga aey baba Toon holay holay chal baba Aey meray baba (x2) Rassi may gala hay Baqar(as) ka Toon holay holay chal baba (x2)
|