Ya Hasan(as)..... Ya Hasan(as) haye Hasan(as) ya Hasan(as) Askari.....
Bhejiye bete ko maula muntazir hai matamiya Imame Askari(as)
1) Daastane zulm Maula(as) ab jahan se khatm ho Jab talak Mehdi(atfs) na aaye rok dije waqt ko Aal-ajal kehke guzarti jaa rahi hai har sadi Ya Imame Askari(as)....
2) Zaalimo ne zehr Maula(as) aapko aisa diya Dast-o-paa ke nakhoono se khoon jari hogaya Aapki ghurbat ko dekha yaade Shabbar(as) aagayi Ya Imame Askari(as)....
3) Dafn Sheh(as) ne jis tarha se apne asghar(as) ko kiya Aagaya nazron may haaye manzare karbobala Apni turbat aap ne jo ghar may khud tayyar ki Ya Imame Askari(as)....
4) Yun to saara saamra tha rone walon mein magar Haaye bhai kehke roye koi teri laash par Ek behan Zainab(sa) ke jaisi kaash ke hoti teri Ya Imame Askari(as)....
5) Ghar mein daakhil hogaye thay zulm dhane ke liye Pursa dene ke bajaye qatl karne ke liye Dhoondte thay charo jaanib tere Mehdi(atfs) ko shaqi Ya Imame Askari(as)....
6) Pardaye ghaibat mein Mehdi(atfs) bhi tadap kar rehgaya Gyara sadiyo baad ye phir se sitam dhaya gayaa Apke roze ka girna hai shahadat doosri Ya Imame askari(as)....
7) Maadare Shabbir(as) ka tameer roza dekhle Ghar may Khaaliq ke "Takallum" Sheh(as) ka matam dekh le Kam kam se itni badhado matami ki zindagi Ya Imame Askari(as)....
|