Ya Rabbul Mashraqain Ya Rabbul Maghrabain Ya Rab Behaqqe zehra taufiq ye ataa ho, Marne se pehle yarab Deedare Karbala ho....x2
Jo arz e karbala hai Har arz se siwa hai Is khake karbala me Sheh ka lahoo mila hai....x2 Har la dawa maraz ki ye khaak hi dawa ho Marne se pehle yarab Deedare Karbala ho
Ya Rab Behaqqe zehra taufiq ye ataa ho, Marne se pehle yarab Deedare Karbala ho....x2
Mai bhi to matami hoo zakir hu saiyada ka Nauha padha hai maine Ham shakle mustafa ka....x2 Is zaakri ka meri qismat se ye sila ho Marne se pehle yarab Deedare Karbala ho
Ya Rab Behaqqe zehra taufiq ye ataa ho, Marne se pehle yarab Deedare Karbala ho....x2
Ya rab namaz e shab me bas ye dua padhu mai Kuch der us zameen par Majlis bapa karu mai....x2 Har matami ke labpar hardam yahi dua ho Marne se pehle yarab Deedare Karbala ho
Ya Rab Behaqqe zehra taufiq ye ataa ho, Marne se pehle yarab Deedare Karbala ho....x2
Mazlumiyat pe jiski rota hai yeh zamana Us bekhata ke dar par Ek bar to hai jana....x2 Jo arz hai labo par wo istarah ataa ho Marne se pehle yarab Deedare Karbala ho
Ya Rab Behaqqe zehra taufiq ye ataa ho, Marne se pehle yarab Deedare Karbala ho....x2
Wo sar zameen jaha par gunji azaan e akbar Tasbeeh aansuo ki Padhni hai us zameen par....2 Ik sajda e aqidat us khaak par adaa ho Marne se pehle yarab Deedare Karbala ho
Ya Rab Behaqqe zehra taufiq ye ataa ho, Marne se pehle yarab Deedare Karbala ho....x2
Farhan woh gaya jo kulsum ki dua par Rauza mai uska dekhu Jo margaya wafa par....x2 Gar ye sharaf bhi meri taqdeer me likha ho Marne se pehle yarab Deedare Karbala ho
Ya Rab Behaqqe zehra taufiq ye ataa ho, marne se pehle yarab Deedare Karbala ho....x2
Nanhi si jis lahad me sote hai ab bhi asghar Us par chadaunga mai Phulon ki ek chadar.....x2 Pursa waha ho aisa pehle nahi hua ho Marne se pehle yarab Deedare Karbala ho
Ya Rab Behaqqe zehra taufiq ye ataa ho, Marne se pehle yarab Deedare Karbala ho....x2
Subhe dahum talak ke barsa lahoo jaha par Ibne hasan ka lasha Tha chaar soon jahapar.....x2 Aaraam ki jagah par farshe azaa bichha ho Marne se pehle yarab Deedare Karbala ho
Ya Rab Behaqqe zehra taufiq ye ataa ho, Marne se pehle yarab Deedare Karbala ho....x2
Hur Aun aur mohammad Besar jahaan hue the Ansar o aqraba ke Bikhre jahaan the laashe....x2 Pursa wahaa mai dunga gar izne fatema ho Marne se pehle yarab Deedare Karbala ho
Ya Rab Behaqqe zehra taufiq ye ataa ho, Marne se pehle yarab Deedare Karbala ho....x2
Sadqa jahaan kiya tha mazloom e karbala ne Jharra tha jis zameen ko baalon se saiyyada ne....x2 Jab mai waha pe jau hoto pe dam ruka ho... Marne se pehle yarab Deedare Karbala ho
Ya Rab Behaqqe zehra taufiq ye ataa ho, Marne se pehle yarab Deedare Karbala ho....x2
Jis khaak ki fazilat kaabe se bhi siwa hai Sajda har ek nabi ne Jis k haak par kiya hai.....x2 Sajda waha karoo mai Zehra ki gar ataa ho Marne se pehle yarab Deedare Karbala ho
Ya Rab Behaqqe zehra taufiq ye ataa ho, Marne se pehle yarab Deedare Karbala ho....x2
Farhan lafz mere dete hai yeh sadae Har majlis e azaa me Karta hu ye dua e...x2 Bas Mazhar Aabdi par ek akhri ata ho....x2 Marne se pehle yarab Deedare Karbala ho
Ya Rab Behaqqe zehra taufiq ye ataa ho, Marne se pehle yarab Deedare Karbala ho....x2
|