Azadaron suno jab qabr-e-Sakina ki ziyaarat ko jaana Yaad rakhna ke Hussain ki beti Abbas o Zainab ki bhateeji Qaid khaanay mein aaj tak tanha hai …
Kabhi Baba ko yaad karti hai (x2) Kabhi Ammu Ammu kehti hai Bus jab qabr-e-Sakina pe jaana, Tou Hussain, Hussain ki sadaaon ko buland karke, Bibi ko apne Baba ka pursa, denaa Aur hosakay tou, zari-e-Sakina se buland hoti hui, in sadaaon ko bhi sunlena Ro lena, sunlena, ro lena
Aao zawwaro aao Haan mujh par ashk bahao Mujh pay roo sar ko peeto Main houn beti HUSSAIN ki Mera naam hai SAKINA
Main ghar walon ki pyaari thee Ammu ki raaj dulari thee Mera Bhaiyya mujh par sadqay tha Meri Amman mujh par wari thee Mera haal ye suntay jao (x2) Aur sab say ye duhrao
Jab dasween aaee Muharram ki to Apna bhara ghar ujar gaya Jo hum nay masaib dekhay hain Dushman ko dikhlaey na khuda Ye noha mil kay sunao (x2) Kuch pursa detay ja
Jab zaair pani peetay hain ASGHAR mujhay yaad aajatay hain Khud bahtay bahtay aankhon say ansoo Pani ban jatay hain Apnay dil ko tarpao (x2) Kuch ashk bahatay jao
Meray ammu roz yahan aa kar Aghosh main mujh ko Letay hain Jo zaair mujh par rota hai ABBAS duaain detay hain Yan matam kartay jao (x2) Ammu ki duain paao
Dekho to sitam ye ummat ka Zindaan main bana marqad mera Lekin ye hamari qudrat hai Zindan hi ziarat gaah bana Tum bahr e ziarat aao (x2) Sab apni muradain pao
Tum say ye wasiaat hai meri Ye soch k tum girya karna Zakhmi hain meray kaan bohat Rukhsaar tamanchon say neela Shor e girya ko barrhao (x2) Yoon mera dard batao
Jab ghut ghut kay main roti thee Amman ko aziyyat hoti thee SAJJAD tasalli detay thay Baba ko jis dam roti thee Kehti thee Baba aao (x2) Ab sath mujhay lay jao
Zindan main Shimr(LA) jo aata tha Godi main Phuphi kay chup jati Us waqt ahista ahista SAJJAD say main ye farmati Aey bhaiyya pass ajao (x2) Zaalim say mujh ko bachao
|