Chale Ao Aey Zawaaro Chale Ao Meri awaaz pe labbaik pukaare jaao Labbaik ya Hussain (a.s)
Naam tum sab ke mere dil pe hain likhe aao Apne maa baap ko is paak safar me laao Apne bachon ko bhi ehraame azaa pehnaao Mere zawaaro meri karbobala aa jaawo Ehd karta hun azaadaaro shifat ke liye Aao zawaaro chale aao ziyaarat ke liye
Chale aawo (x2) Chale Ao Aey Zawaaro Chale Ao Meri awaaz pe labbaik pukaare jaao Labbaik ya Hussain (a.s)
Khush raho aey meri rudaa sunaane waalo Apni khushion me mera sog manaane waalo Sare alam me mera farsh bichane waalo Garmi sardi me meri qabr pe aane waalo Mujhko maalum hai tum logon ki haajat aawo Tum pe ho jaayegi allah ki inaayat aawo
Chale aawo Chale Ao Aey Zawaaro Chale Ao Meri awaaz pe labbaik pukaare jaao Labbaik ya Hussain (a.s)
Jaanibe Karbobala jab koyi barhta hai qadam Har qadam par mere zawaar pe hota hai karam Saaya karta huwa abbas ka chalta hai qadam Muntazir rehti hai zehra mere baba ki qasam Mere zawaaro mere dard ke maare aawo Meri maa fatema zehra ke dulaaro aawo
Chale aawo (x2) Chale Ao Aey Zawaaro Chale Ao Meri awaaz pe labbaik pukaare jaao labbaik ya Hussain (a.s)
Tum jo kehte ho abad wallah ma ninsa hussain Amma zehra bhi yahi karti hain ro ro kar bain Meri mazlumi pe roye hain shahe badr o honain Mere baba bhi hain ab tak mere gham me be chain Tum nahi bhule to mein bhi nahi bhula tum ko Yaad chalte huwe khanjar me bhi rakhta aawo
Chale aawo (x2) Chale Ao Aey Zawaaro Chale Ao Meri awaaz pe labbaik pukaare jaao Labbaik ya Hussain (a.s)
Tum jo lehraate ho haathon me uthaaye parcham Tum ko maalum hai ho jaata hai taaza mera gham Yaad aata hai mujhe khun me duba wo alam Jis ke jhuk jaane se tuta mere bacchon pe sitam Mere abbas ki jaagir sajaane aawo Hazri roza e Abbas pe khaane aawo
Chale aawo (x2) Chale Ao Aey Zawaaro Chale Ao Meri awaaz pe labbaik pukaare jaao Labbaik ya Hussain (a.s)
Mere zawaaro suno ye zameen Karbobala Mujhse pehle to yahaan koi bhi bas na saka Ye zameen Karbobala karb ka majmua hai Hazrate aadam o hawwa ka yahin girya hai Sher ne Hazrate Isa (a.s) ko yahin roka hai Aur phir takhte sulaimaan yahin larza hai Is zameen par Ibraahim (a.s) ka rahwaar dhasaa Paa e musaa me lagi chot lahu behne laga Zabihallah ke haivaan rahe pyaase yahaan Kashtiye nooh se takraaya yahin par tufaan Is zameen par to pareshaan huwa har insaan Mere baba bhi yahin karte rahe aah o fugaan Meri hijrat thi madine se hidaayat ke liye Ye zameen maine kharidi thi shahaadat ke liye
Chale aawo ay zawaaro chale aawo Meri aawaaz pe labbaik pukaare jaawo Labbaik ya Hussain (a.s)
Do moharram ko yahaan mera rahwaar ruka Saath kunba tha mera mein akela bhi na tha Aao zawaaro mere saath chalo Thaam kar dil mera maqtal dekho Ye maqaame Ali Akbar (a.s) hai jahaan Mere bacche pe jahaan royi azaan Ye maqaame Ali Asghar (a.s) hai jahaan Aaj bhi bethi huwi roti hai maan Ye jagaah wo hai mere zawaaro laashe Qasim (a.s) huwi paamaal idhar Do maqaamat jo aate hain nazar Kate Abbas (as) ke baazu the idhar Hain zaraa door jo do dil ke qaraar Hain mere Aun o Mohammad (a.s) ke mazaar Asre aashur se turbat ke qareeh Mera hur aur mera lashkar hai yahi Aur ye tilla e Zainabya (s.a)hai Yahi Zainab (s.a) ne ye manzar dekha Mujh pe chalta huwa khanjar dekha Mera aashur ya chehlum ho mera Karbala aata hai kunba mera Phir sakina jo yahaan aati hai Meri turbat se lipat jaati hai
Ya Hussain (a.s)
Mein hun Hussain (a.s) Abde Khuda Khune Nabi (s.a.w) Khune Ali (a.s) Khune Hasan (a.s) Zehra (s.a) nasab Shaahe Arab Mein hun ataa Mein hun shafaa Ehle azaa Roze jazaa Denge tumhe Lutf o karam Baaghe iram Mein hun Hussain (a.s) Tum pe salaame Karbala maatami Tum pe salaame shohada maatami Tum pe salaame sayyada maatami Tum pe salaame murtaza maatami Tum pe salaame mustafa maatami Tum pe salaame baawafa maatami Tum ho dile Zainabe Kubra (a.s) ka chain Kehte raho kehte raho ya Hussain (a.s) Sayyadena sayyadena ya Hussain (a.s) |