haey aey rone walo hai yeh riwayat me likha Jis dam qayam koofe me Mukhtar ne kiya jo bhi the qatilane shaheedane karbala(as) Arey unme se koi jab bhi gireftar hota tha Hukme ameer par wo sitam jab sunata tha Mukhtar sar ko peet ke bus rota jaata tha
Haey ek roz tha ye koofe ke darbaar ka sama Ibne numair(la) apne sitam karta tha bayaa Torri thi maine sinaey Akbar(as) me khud sina Uthta tha shor khaimo se maara gaya jawaa Maa jiteji guzar gayi, Zainab(sa) bhi mar gayi Ek barchi mere kitne jigar paar kar gayi
Haey ek roz karke laaya gaya Hurmala(la) aseer Bola wo ran me maine chalaye thay teen teer Us waqt pehla teer chalaya tha aey Ameer Bhar kar chala jo mashk toh mazloom ka Safeer(as) Mashkeeze se jo teer mera paar hogaya Aisa laga ke qatl Alamdar(as) hogaya
Haey bola laeye ye karb ka hai dusra maqaam, Laaye jo apni goad me besheer(as) ko Imam(as) Sookhi zubaan phirata tha honton pe tishna kaam Yun qata ibne Zahra(as) ka maine kiya kalam Hil hil gaya lahad me jigar Buturab(as) ka Aray maqtal me nehar hogaya bacha Rabab(sa) ka
Haey darbar me ye sunke qayamat ka tha samaa Aray peero jawaan rote the lele ke hichkiyan Bola ye Hurmula(la) abhi baaqi hai dastaa Jis dam tera Husain(as) tha teero ke darmiyaan Wo teer aakhri tha jo maine chalaya tha Aray us teer ne Husain(as) ko zeen se giraya tha
Haey phir shor wa husaina(as) ka uthta tha baar baar Jab qaid karke laya gaya Shimre(la) bad sheyaar Bola wo mere haath me khanjar tha tez dhaar Jisse kiye Husain(as) ki gardan pe tera(13) waar Khanjar rawa tha halq pe ibne Batool(as) ke Dil kat rahe the saath me aale rasool(as)ke
Haey ab iske baad Meer Takallum bayan ho kya Aey pursadaro sochna dil me kabhi zara Kyu itna waqt qatile Shabbir(as) ko laga Kis waste Husain(as) ka kat-ta na tha gala Mehsher me ye khulega sitam kaynaat par Khanjar ke kuch nishaan hai Zahra(sa) ke haath par
|