Aao ik kaam karain
Aey mere desh ke logo meri awaaz suno Meri awaaz-e me maktal ka ye aghaaz suno (x2) Kya khabar tum na raho (x2) Kya khabar ham na rahain
Aao ik kaam karain, Karbala aam karain (x2)
Jis tarha saniye Zehra ne isay aam kiya Aik zanjir ki jhankar ne wo kaam kiya Jis tarha se shohada ne safare shaam kiya Yani nezon se buland aur bhi Islam kiya Ham isi darse qayadat ki ada aam karain Kya khabar tum na raho (x2) Kya khabar ham na rahain Aao ik kaam karain, Karbala aam karain (x2)
Ye jo majlis he madawa hay har ik gham ke liye Aik sawghat he ye ba didaye purnam ke liye Soze dil chahiya tehzeebe muharram ke liye Koyi tafreeq nahi halqae matam ke liye Rone walo ke liye farshe aza aam karain Kya khabar tum na raho (x2) Kya khabar ham na rahain Aao ik kaam karain, Karbala aam karain (x2)
Aao dekho ke ye khayma ye alam kiska hai Khoon se naam ye sehra pe raqam kiska hai Ab bhi tarik se aghe ye kadam kiska hai Sari duniya ko bata dain ke ye gham kiska hai Sari duniya ke liye gham ki fiza aam karain Kya khabar tum na raho (x2) Kya khabar ham na rahain Aao ik kaam karain, Karbala aam karain (x2)
Tum bhi seenay me ye gham leke chalo ham bhi chalain Tum bhi inkare sitam leke chalo ham bhi chalain Tum bhi haq ka ye hasham leke chalo ham bhi chalain Tum bhi Ghazi ka alam leke chalo ham bhi chalain Har zamane ke liye zikre wafaa aam karain Kya khabar tum na raho (x2) Kya khabar ham na rahain Aao ik kaam karain, Karbala aam karain (x2)
Aisa aijaaz to tareekh ne dekha na suna Jo diya noor ke hathon shabe ashoor bujha Sab shahidon ke dilon me wo diya jake jala Aaj bhi roshni deta hai wohi aik diya Har andhere me wohi aik diya aam karain Kya khabar tum na raho (x2) Kya khabar ham na rahain Aao ik kaam karain, Karbala aam karain (x2)
Baad Shabbir ke apnay bhi hain aghyaar bhi hain Khandane bani hashim bhi hain ansar bhi hain Hur bhi hain John bhin hain Akbaro Jarrar bhi hain Jaan dene ke liye subho se tayyar bhi hain Aise maqtal ki fizaa ko ba khuda aam karain Kya khabar tum na raho (x2) Kya khabar ham na rahain Aao ik kaam karain, Karbala aam karain (x2)
Qafela rehgaya ik dashte bala me pyasa Jinki meeras thi kausar unhe pani na mila Ye sabilain unhe pyason se wafaa he ba khuda Koi pyaasa na rahain thi ye Sakina ki dua Har zameen par ye sakina ki dua aam karain Kya khabar tum na raho (x2) Kya khabar ham na rahain Aao ik kaam karain, Karbala aam karain (x2)
Rehnumaa qatl huwa qatl qayadat na hui Ik imam aur barrha khatm imamat na hui Jism rondhe gaye pamal shariat na hui Chadarain chin gayeen batil ki hukumat na hui Ye Muhammad ke garanay ki wafaa aam karain Kya khabar tum na raho (x2) Kya khabar ham na rahain Aao ik kaam karain, Karbala aam karain (x2)
Mere mawla mere aqa ye tera gham na rukay Kitne tufan bhi hilal aaye magar ham na ruke Ay azadar ye majlis ye muharram na ruke Waqt kitna hi badal jaye ye matam na ruke Ye shahido ka he matam ba khuda aam karain Kya khabar tum na raho (x2) Kya khabar ham na rahain Aao ik kaam karain, Karbala aam karain (x2)
|