Jab shaam ke zindaan may huwi, shaam haram ko. Ik aan na rahat thi na araam haram ko. Har baar tapakta tha lahu, ashk rawaan se Zindaan larazta tha (x2) Sakina ki fughan se
Allah jaane, kahan ho aey baba (x2)
Baba!! Kitni ratain guzar gaeyen baba Allah jaane, kahan ho aey baba
Chote se sin may qaidiye zindaan hogayi (x3) Baba may kyun na aap pe (x2) qurbaan hogayi Allah jaane, kahan ho aey baba (x2)
Dil may jo mere dard hai khaliq ke hai aeyaan Kisko kahun may baap mere, baap hai kahaan Tum bekafan may besaro samaan hogayi Baba may kyun na aap pe (x2) qurbaan hogayi Allah jaane, kahan ho aey baba (x2)
Kya kya na khalq karne hakarat se behgaeyi Mei bekasi se dekhke muh sabka rehgaeyi Kurta phata huwa meri pehchaan hogayi Baba may kyun na aap pe (x2) qurbaan hogayi Allah jaane, kahan ho aey baba (x2)
Dar aah ki to shimr pukara khamosh ho Aur chup huwi to be padari ne kahan ke ro In afato may girse pareshaan hogayi Baba may kyun na aap pe (x2) qurbaan hogayi Allah jaane, kahan ho aey baba (x2)
Be jurm kaan zakhmi huwe aur tamache khaaeye Jo chaahe mujh falak ki sataaeyi ko phir sataaeye Shehzaadi-e-Hussain ki ye shaan hogayi Baba may kyun na aap pe (x2) qurbaan hogayi Allah jaane, kahan ho aey baba (x2)
Sadke gaeyi bataawo kahan hai mere padar Aaeye padar to jaaeye Sakina bhi apne ghar kyun aise zalimon ki may mehman hogayi Baba may kyun na aap pe (x2) qurbaan hogayi Allah jaane, kahan ho aey baba (x2)
Poti hun uski jo ke hai kohnain ka ameer Jisne hazaro qaeyd se churwaaeye diyey aseer Ummat nabi ki dekhke anjaan hogayi Baba may kyun na aap pe (x2) qurbaan hogayi Allah jaane, kahan ho aey baba (x2)
Jab sarpe shah-e-deen ke Sakina ne phiri nazar Chillaaeyi roke haeye gazab mar gaeye padar Baba ke sar ko dekhke haeyraan hogayi Baba may kyun na aap pe (x2) qurbaan hogayi Allah jaane, kahan ho aey baba (x2)
Mu rakh ke mu pe shaah ko royi jo dil fighaar Sadma huwa nikaalne lagi tan se jaan-e-waar Nanhi si jaan jaan se bejaan hogayi Baba may kyun na aap pe (x2) qurbaan hogayi Allah jaane, kahan ho aey baba (x2)
Bas aey "Anees" bazm may hai giryaa-o-buka Sadiyon talak rulaaeyenga sabko ye marsiya Bali Sakina qarb ka unhwaan hogayi Baba may kyun na aap pe (x2) qurbaan hogayi Allah jaane, kahan ho aey baba (x2)
Baba!! kitni rate guzar gaeyi baba Allah jaane, kahan ho aey baba |