Hussain(as) (x2)
Maqtal Me Jub Hussain(as) Pe Khanjar Rawa Hua, Zainab (sa) Thi Ek Ret Ke Teele Pe Gam Zada,
Karte The Bain Arz O Sama….. Wa Musibata Markad Me Apne Khaak Udhate Te The Mustafa(sawaw) Jalti Zameen Pe Bain Yeh Karti Thi Sayyada(sa)
Ro Ro Ke Ahle Sham Se Kehti Thi Sayyada (sa) (x2) Haye Mere Hussain(as) Pe Kya Waqt Aagaya (x2) Hussain(as), Hussain(as)
Ghar Fatema(sa) Ka Loot Liya Fauje Sham Ne Luta Hai Kisne Ummat E Khairul Anam Ne Pyasi Nabi Ki Aal Thi Darya Ke Saamne Din Bhar Uthaie Maiyate Shah E Anam Ne Peer O Jawan Kurban Kiye Tashnakaam Ne Aaya Na Koi Bhi Mere Bacche Ko Tham Ne Sabro Raza Ke Sare Imtehan De Gay
Haye Mere Hussain(as) Pe Kya Waqt Aagaya (x2)
Ek Sar Ajal Ne Maanga Bahattar Fida Kiye Ashab E Ba Wafa Tahe Khanjar Fida Kiye Pale Hue Sub God Ke Has Kar Fida Kiye Zainab (sa) Ke Do Haseen Gul E Tar Fida Kiye Jaun O Habib O Hur Se Baradar Fida Kiye Deen E Khuda Pe Akbar(as) O Asgar(as) Fida Diye Dard E Judaie Qasim (A.s) O Abbas(as) Ka Mila
Haye Mere Hussain(as) Pe Kya Waqt Aagaya (x2)
Kya Haq Rasool E Pak (sawaw) Ka Tumne Ada Kiya Har Zulm Ko Hussain(as) Pe Tumne Rawa Kiya Lekin Mere Hussain(as) Ne Dekho To Kya Kiya Jo Wada Bachpane Me Kiya Tha Wafa Kiya Karbobala Ki Khak Ko Khaak E Shifa Kiya Jalti Zameen Pe Shukra Ka Sajda Ada Kiya Mazloomi Yat Ki Sari Hadein Par Kar Gaya
Haye Mere Hussain(as) Pe Kya Waqt Aagaya (x2)
Banjar Zameen Ki Shan Badhaie Hussain(as) Ne Teeron Ki Janamaz Bichaie Hussain(as) Ne Aaisi Namaz Ban Me Padhaie Hussain(as) Ne Teg O Tabar Ki Pyas Bujhaie Hussain (as) Ne Tawheed Apne Khoon Se Bachaie Hussain(as) Ne Falaq Ki Kabr Ban Me Banaie Hussain(as) Ne Noke Sina Pe Bolta Quran Ho Gaya
Haye Mere Hussain(as) Pe Kya Waqt Aagaya (x2)
Tha Teen Shab O Roz Ka Pyasa Mera Hussain(as) Nargha Tha Sitamgaron Ka Tanha Mera Hussain(as) Tanha Har Ek Shaheed Ko Roya Mera Hussain(as) Zakhmon Se Jub Ke Choor Hua Tha Mera Hussain(as) Ghode Se Kya Zameen Pe Aaya Mera Hussain(as) Na Zeen Na Zameen Pe Thaira Mera Hussain(as) Buz Sajda E Tazeem Me Sar Ko Jhuka Diya
Haye Mere Hussain(as) Pe Kya Waqt Aagaya (x2)
Asghar(as)Ki Kabr Khod Ke Roti Thi Zulfeqar Kitna Neyam Me Sabr Mein Tadpi Thi Zulfeqar Zainab (sa) Ki Tarha Sog Me Rehti Thi Zulfeqar Woh Ke Adu Ke Khoon Ki Pyasi Thi Zulfeqar Hanga Me Asr Nyam Se Nikli Thi Zulfeqar Yeh Fauj E Be Murad Se Kehti Thi Zulfeqar Tum Iski Jung Dekho Jo Barbad Ho Gaya
Haye Mere Hussain(as) Pe Kya Waqt Aagaya (x2)
Jub Tak Sipa He Sham Se Yeh Keh Ke Purmalal Tum Uski Jung Dekho Jo Sadmon Se Hai Nidhal Mai Fauj E Na Murad Se Karta Hun Ek Sawal Mujrim Tumhara Mai Tha Ya Bano(sa) Ka Nawnihal Akbar(as) Se Naujawn Ka Tumne Kiya Qital Qasim(as) Ki Lash Ghodon Se Ki Tum Ne Paymal Ab Uski Jung Dekho Jo Lashe Utha Chukka
Haye Mere Hussain(as) Pe Kya Waqt Aagaya (x2)
Tum Kya Samajh Rahe The Ke Ghar Ko Ujad Kar Qasim(as) Se Nawjan Pe Ghode Guzar Kar Akbar(as) Ke Dil Me Zulm Ki Barchi Utar Kar Bayat Milengi Teer Se Asgar(as) Ko Maar Kar Mai Mutmain Hun Deen Pe In Sub Ko Maar Kar Noke Sina Pe Sar Mera Rakhonge Haar Kar Goonjengi Qaiyanat Me Har Simt Ek Sada Haye Mere Hussain(as) Pe Kya Waqt Aagaya (x2)
Farhan Nawhakhwan Hai Ya Mazhar Abedi Dete Hai Is Jahan Ko Paigam Bus Yehi Yeh Jo Gali Gali Mein Hai Lashe Biche Hue Har Waqt Ke Yazeed (La) Ki Koshish Hai Aaj Bhi Mit JAaye Is Jahan Se Majlis Hussain(as) Ki Wada Magar Hussain(as) Ki Madar Se Hai Yehi Jaan De Kar Karte Jaienge Matam Hussain(as) Ka
Haye Mere Hussain(as) Pe Kya Waqt Aagaya (x2)
Ya Janabe Sayyada(sa) Aaye Hai Purse Ko Hum Ya Ali(as) E Murtaza Aaye Hai Purse Ko Hum Saiyad E Abrar(as) Ke Aaye Hai Purse Ko Hum Shah(as) Ke Ansar Ke Aaye Hai Purse Ko Hum Sheh(as) Ke Alamdar(as)Ke Aaye Hai Purse Ko Hum Akbar (A.S) Ke Zeejah Ke Aaye Hai Purse Ko Hum Qasim(as) E Noshah Ke Aaye Hai Purse Ko Hum Aun(as) O Mohammad(as) Ke Bhi Aaye Hai Purse Ko Hum Bali Sakina (sa) Ke Bhi Aaye Hai Purse Ko Hum Asghar(as) E Masoom Ke Aaye Hai Purse Ko Hum Shahzadi E Qulsoom(sa) Ke Aaye Hai Purse Ko Hum Zainab (sa) E Nashad Ke Aaye Hai Purse Ko Hum Han Sayyad E Sajjad(as) Ke Aaye Hai Purse Ko Hum
Ya Janabe Sayyada(sa) (x2) |