Utho Sakina utho jata hay karwan Teray baghair jani kaisay jiye gi maa
Zindan ka ye andhera chota sa aah sawera Pardes may Sakina gham khawar kon tera Zakhmi hain kan teray khali hain baliyan
Qabr e Batool tanha veeran hay Madina Karb o bala may Asghar zindan may Sakina Dil ko hila rahi hain Akbar ki hichkiyan
Maa ja rahi hay bibi veeran goad le kar Karb o bala ke ban may apna suhag de kar Kaisay Madinay jaoon sab kuch to hay yahan
Sughra ka samna may kaisay karoon bata day Poochay gi jab woh mujh se may kia kahoon bata day Amma meri Sakina kho aayi ho kahan
May is gharri se pehlay aey kash mar hi jaoon Kis kis ko kia bataoon kis kis se munh chupaoon Poochain gi mujh se aa kar jab sari bibyan
Dil gham se hay do para hamain Shamiyon ne mara Abbas bhi nahi hain jo barrh ke dain sahara Jangal may so rahi hain sari nishaniyan
Irfan gham e Sakina hay dukh bhari kahani Ye dukh bhari kahi Nasir ki hay zubani May sochta hoon ab bhi kaisay karoon bayan |