Aey amma Aray aap se may bayan dil ka haal karon Aray dil may uth-ta hay jo ik sawal karpm Qaid se jab rehai haram payain gay Kia meri qabr pe phir nahi aayain gay Sirf ranj o alam (x2) mujh ko tarrpayain gay Kia mujhe chorr kar sab chalay jayain gay
Qiad se jab rehai haram payain gay Kia mujhe chorr kar sab chalay jayain gay
Kia isi qaid may ghut ke mar jaon gi Kia may do gaz kafan bhi nahi payoon gi Mailay kurtay may kia mujh ko dafnayain gay Kia mujhe chorr kar sab chalay jayain gay
Sar se paon talak may lahoo may hoon tar Mera zakhmo bhara ye badan dekh kar Sirf zalim nahi zulm pachtayain gay Kia mujhe chorr kar sab chalay jayain gay
Shaam walay karain gay abhi kuch sitam Mujh ko khaye chala ja raha hay ye gham Yeh meri qabr pe Shimr ko layain gay Kia mujhe chorr kar sab chalay jayain gay
Dekh kar zakhm baba ke ghabrayi may Hashr may baap ke pas jab aayi may Dekh kar mujh ko baba bhi ghabrayain gay Kia mujhe chorr kar sab chalay jayain gay
Karbala hay kahan aur kahan Shaam hay Na mujhe chain na un ko aaram hay Woh mujhe Karbala roza bulwayain gay Kia mujhe chorr kar sab chalay jayain gay
Karbala ja ke baba se ye poochna Hashr may un se jab ho mera samna Kia mujhe apnay seenay se liptayain gay Kia mujhe chorr kar sab chalay jayain gay
Kehna Sughra se apna chaman mil gaya Ho mubarak tumhain to watan mil gaya Hashr tak ham musafir hi kelayain gay Kia mujhe chorr kar sab chalay jayain gay
Shaam may hi meri sham ho jaye gi Ye kahani meri aam ho jaye gi Baap beti se jab pyar farmayain gay Kia mujhe chorr kar sab chalay jayain gay
Ham na fankar hain aur na ahle qalam Hay ye Frhan o Shokat pe un ka karam Ham se Shabbir noha kehlawain gay Kia mujhe chorr kar sab chalay jayain gay |