Meray baba meray baba Aik bachi ka hay Noha meray baba meray baba Hui hay sham aur na aaye baba meray baba Meray baba
Pyas pani neend bholi chott-ti hay sans meri Ghut raha hay dam hamara (x2) Meray baba
Qaid ho kar jab se aayi reesma may hay kalayi Hay dareeda jism sara (x2) Meray baba
Khak chadar kahak bistar qabr jaisa hay ye manzar Shab andheri din andhera (x2) Meray baba
Bhai qaidi maa hay qaidi qaid kunba qaid may bhi Lo khabar ab to khudara (x2) Meray baba
Dil hay zakhmi kaan zakhmi rooh zakhmi kaan zakhmi Moat hi day ab sahara (x2) Meray baba
Tum kahan ho may kahan hoon bin tumharay be amaan hoon Jis ne chaha us ne mara (x2) Meray baba
Na chacha hay na baradar hath rakhay kon sar par Dooba qismat ka sitara (x2) Meray baba
Rona chahon ro na paoon soona chahon soo na paoon Ye muqaddar hay hamara (x2) Meray baba
Ab to aao ab to aao qabr meri khud banao Ho ga ihsaan ye tumhara (x2) Meray baba
Aey Rehan noha guftar tu Sakina ka hay nokar Likh Sakina ka wo noha (x2) Meray baba
|