Jab mah-e-Muharram ka namoodar hua chand Aur Karb o bala pohoncha to ghamkhaar hua chand
Rotay rahay ban may bani hashim ke sipahain Pamal huay dasht may Zehra ke dularay Mazloom Sheh e deen ka azadar hua chand
Tukrray huay zehra ke kaye chand zameen par Ankhon may samaya hay usi dasht ka manzar Ashoor se is gham may giraftar hua chand
Karta hay tawaf aaj bhi woh Kaaba-e-deen ka Kia us se taqabul karain Qasim se haseen ka Yun roza e Shabbir ka zawwar hua chand
Yun hota hay zahir ye ghariboon ke alam may Kehlata hay mazloom sheh e wala ke gham may Yun matmi kehlanay ka haqdar hua Chand
Kehlate pehan leta hay malboos e gham o par Mathay pe saja leta hay maqtal ki wohi gard Aisa shab e Ashoor dil-afgar hua chand
Jab qatl huay shah to wo dekh raha tha Zainab ne bhari aah to woh dekh raha tha Yun bhi to gawah e shah e abrar hua chand
Jab subhe dahum goonji Azan e Ali Akbar Sehray pe saja kar woh nishan e Ali Akbar Akbar ki jawani ka parastar hua chand
Matam ka nishan ban ke azadaron ki soorat Kab zair o zabar aine razakaron ki soorat Har halqa e matam may namoodar hua chand
|