Beti Ali ki Turbat-e Zehra pe aaye hay Beti Ali ki Turbat-e Zehra pe aaye hay Kurta lahoo bhara hua bhai ka layee hay
kehti e Hussain ki Amma Utho utho Zainab se karbala ka zarra majra suno
Amma humara ranjho masahib hai dardnaak Amma humare khalbo jigar ho chuke hai chaak Amma humare nana ki ummat ne ki daga Amma humare khoon ko samjhe hain sab rawa Kehti hay Hussain ki Amma utho utho Zainab se karbala ka zarra majra suno
Amma taras ke reh gaye paani ko hum tamam Amma diya na humko kisi ne bhi ek jaam Amma humaray Mard tahe teg hogaye Amma naha ke khoon main bechare so gaye Kehti hay Hussain ki Amma utho utho Zainab se karbala ka zarra Majra suno
Amma Pade hai nahar par Abbas Ruth kar Amma Sakina soti hai zinda main be pidar Amma kaha se Akbar-e-Mehroo ko layun main Amma kaha se Asgar-e-Nadan ko payun main Kehti hay Hussain ki Amma utho utho Zainab se karbala ka zarra Majra suno
Amma wo mere Aun o Mohammed mere pisar Maidaan-e-Karbala main pade hai kata ke sar Amma lahoo main doob k Qasim bhi chal base Amma Hasan ko muh na dikhane ke hum rahe Kehti hay Hussain ki Amma utho utho Zainab se karbala ka zarra Majra suno
Amma Hussain Karbobalahee main rahe gaye Amma Hussain saare Masahib ko seh gaye Amma Hussain mar gaye be yaaro be watan Amma hussain ko na mayaser hua kafan Kehti hay Hussain ki Amma utho utho Zainab se karbala ka zarra Majra suno
Amma humari chaadare bhi chin gayee tamam Amma humare haal par haste the ahle shaam Amma wo shaam Gurbate Shabbir ahha Amma wo raat kaali wo sunsaan qatl gaa Kehti hay Hussain ki Amma utho utho Zainab se karbala ka zarra Majra suno
Amma ye haal -e-Abid-e-Bimaar hogaya Zalim sipahi ne le liya bistar garib ka Amma qadam qadam pe aseeri rula gayee gardan main tauk paav main zanjeer aagayee Kehti hay Hussain ki Amma utho utho Zainab se karbala ka zarra Majra suno
Amma wo bibiyon ka tadapna wo shor-o-shain Amma rahegi yaad wo aaho bukh wo bain Amma Rabab roti hai Asghar ko subho shaam Akbar ko yaad karti hai Laila-e-tashnkaam Kehti hay Hussain ki Amma utho utho Zainhab se karbala ka zarra majra suno
Baazu ke neel dekhiye Amma Khuda gawa Maqtal ki gard ban gayee afshaan Khuda gawa Amma ye bebasi ye qayamat ki bebasi Amma Humare haal par roti hai bekasi Kehti hay Hussain ki Amma utho utho Zainab se karbala ka zarra Majra suno
Amma batayiye tho main ab jee k kya karu kiss tarah ab Hussain ki furkat ka gam sahu Aaai Fughan nida kay sare hashr hum bhi ab Kurta lahoo bhara hua rakh denge peshe Rab Beti tumhara Bhai Shah-e- Mashraqain hay, Beti tumhare sabr main fathe Hussain hai Kehti hay Hussain ki Amma utho utho Zaihab se karbala ka zarra Majra suno
|