Haey sayyeda zainab, jaane karbala Zainab Misle bawafa zainab, oo gare jafa Zainab
Jinn-o-ins rote hai, keh ke jaan khote hai Wa musibata zainab, haye sayyeda Zainab
Bani-e-aza zainab, pehli zakira Zainab
Zulm-o-jaur sehne ki, ibteda tu ma ne ki Tu hai inteha zainab, haye sayyeda Zainab
Raat ke andhere may, dushmano ke ghayre may Dhoondti hai kya zainab, haye sayyeda Zainab
Dard-o-gham uthane ko, bangaya zamane ko Tera naksh-e-pa zainab, haye sayyeda Zainab
Kitne raah may bichre, kya kya haadse guzre Zulm sab saha zainab, haye sayyeda Zainab
Aey anees-e-zi zainab, dard ki makeen Zainab Haye sayyeda zainab, haye sayyeda Zainab |