Ya Ghareeb Imam, Ya Ghareeb Ya Hussain
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Ya Hussain, Haaye Hussain

Ya Ghareeb Imam, Ya Ghareeb Ya Hussain
Ujargaya Hai Batul Ka Ghar, Hussain Chup Hai

Khuda Ki Marzi, Mai Sar Jhukaakar, Hussain Chup Hai

Ya Ghareeb Imam, Ya Ghareeb Ya Hussain
Ujargaya Hai Batul Ka Ghar, Hussain Chup Hai

1. Ye Sabr Ki Kounsi Hai Manzil, Pisar Ka Barchhi Se Chhidgaya Dil,
Woh Hass Rahaa Hai Sirhaane Qaatil, Ya Hussain,
Uthaaye Haatho Pe Laashe Akber, Hussain Chup Hai
Ya Ghareeb Imam, Ya Ghareeb Ya Hussain
Ujargaya Hai Batul Ka Ghar, Hussain Chup Hai

2. Kharaa Hai Laakhon Mai Woh Akela, Chalaaye Jaate Hai Teer Aadaa,
Kahin Se Barchhi Kahin Se Bhaala, Ya Hussain,
Baras Rahe Hai Kahin Se Pathhar, Hussain Chup Hai
Ya Ghareeb Imam, Ya Ghareeb Ya Hussain
Ujargaya Hai Batul Ka Ghar, Hussain Chup Hai

3. Lagaa Hai Kyun Mere Dil Ko Dharkaa, Lahu Se Kiske Yeh Tar Hai Chehra,
Kahaan Hai Asgher Bataaye Maula, Ya Hussain,
Sawaal Asgher Ki Maa Ka Sunkar, Hussain Chup Hai
Ya Ghareeb Imam, Ya Ghareeb Ya Hussain
Ujargaya Hai Batul Ka Ghar, Hussain Chup Hai

4. Naseeb-e-Raahib Jo Shehne Badlaa, Wahaan Pe Khaamosh Kibriyaa Tha,
Magar Yeh Manzar Hai Karbala Ka, Ya Hussain,
Yahaan Pe Dekar Khuda Ko Akber, Hussain Chup Hai
Ya Ghareeb Imam, Ya Ghareeb Ya Hussain
Ujargaya Hai Batul Ka Ghar, Hussain Chup Hai

5. Kahaa Ye Qaasid Ne Roke Maula, Mareez Beti Ka Khat Hun Laaya,
Salaam Sabko Hai Ussne Likha, Ya Hussain,
Salaam Ka Bas, Jawaab De Kar, Hussain Chup Hai
Ya Ghareeb Imam, Ya Ghareeb Ya Hussain
Ujargaya Hai Batul Ka Ghar, Hussain Chup Hai

6. Huwe Hai Zakhmon Se Chur Maula, Badan Se Behta Hai Khun Ka Dariya,
Kahe To Rakhdu Ulatke Duniya, Ya Hussain,
Madad Ko Aaya, Hai Ran Mai Zaafar, Hussain Chup Hai
Ya Ghareeb Imam, Ya Ghareeb Ya Hussain
Ujargaya Hai Batul Ka Ghar, Hussain Chup Hai

7. Ladhi Akele Mai Woh Ladhaayi, Duhaai Dene Lagi Khudaayi,
Sadaa Juhi Irjaee Ki Aayi, Ya Hussain,
Neyaam Mai, Zulfiqar Rakh Kar, Hussain Chup Hai
Ya Ghareeb Imam, Ya Ghareeb Ya Hussain
Ujargaya Hai Batul Ka Ghar, Hussain Chup Hai

8. Hussain Gohar Yeh Jaanta Hai, Safar Ye Chouda-So Saal Ka Hai,
Sitam Jo Ab Tak Woh Seh Raha Hai, Ya Hussain,
Laraaz Iss Mai Koi Toh Akber, Hussain Chup Hai
Ya Ghareeb Imam, Ya Ghareeb Ya Hussain
Ujargaya Hai Batul Ka Ghar, Hussain Chup Hai