Ya Abbas (x2) Aisa alam hai kahaan, aisa jawaan hai kahaan (x2)
1) Ye hai Abu Talib ka gharana, Is pe Khuda ka khas karam hai, Sare Arab me sare ajam me, kisko mila ye jaaho hasham hai in me koi yasin-o-muzammil, in me koi sardar-e-iram hai (x2) Uski alag hi shan hai maula, jisko mila haider ka alam hai Aisa alam hai kahaan, aisa jawaan hai kahaan (x2)
2) Kaisa saja hai kaisa hasin hai, karbobala mei shah ka lashkar, yoon to sabhi hai sheyr-e-dilawar, Auno Muhammad Qasim-o-Akbar Ibne Mazahir Wehbe Kalbi, John bhi Hur bhi sare dilawar (x2) Apni jagha ye sab hai bahaddur, Faoj me teri ay shah-e-safdar Aisa alam hai kahaan, aisa jawaan hai kahaan (x2)
3) Baade namaz-e-fajr ziyarat, tere alam ki karta hu, sharf ghulami ka mil jaye, mai ye wazifa parhta hu karke ziyarat tere alam ki, phir me ghar se chalta hu (x2) Saye mei chawda masoomo ke, shukhre khudaa mei rehta hu Aisa alam hai kahaan, aisa jawaan hai kahaan (x2)
4) Ham to sag-e-darbar-e-Ali hai, khas ye tujse rishta hai, jad bhi hai tera Qul ka maula, tu bhi hamara aaka hai tere fakiro me ay Ghazi, Arsh nasheen bhi rehta hai (x2) Sindh me aawo maula kadam par, laal kalandar kehta hai Aisa alam hai kahaan, aisa jawaan hai kahaan (x2)
5) Shaam ke lashkar me halchal thi, kaun jari ab aata hai, burhay jawaano se kehte the, yeh to Ali ab aata hai sar pe khuda thokar me kazaa hai, qahre jali ab aata hai (x2) Kehna para Ahmed ko Ali se, tera wasi ab aata hai Aisa alam hai kahaan, aisa jawaan hai kahaan (x2)
6) Teri shahadat se kunbe par, kaisi qayamat tut gayi, jis ko kahaan karte the aaka, katl huwa wo bhayi bhi Sar se chini Zainab ke chadar, teri Sakina qaid huwi (x2) Haey teri majboori Ghazi, Maa Zehra ye kehti rahi Aisa alam hai kahaan, aisa jawaan hai kahaan (x2)
|