Shaam Ki Aurton Aik Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum
Shaam Ki Aurton Aik Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum (x2)
Jab Talak Laut Kar Mai Na Aaun (x2) Aake Shamma Jalaaogi Tum Shaam Ki Aurton Aik Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum (x2)
Surate Shahe Deen Bekafan Bhi, Mere Jaisi Aseer-e-Mehen Bhi Khaali Kurte Mai Madhfun-e-Ghurbat, Misl-e-Asghar Rahi Bekafan Bhi Kya Kafan Ki Tarah Roz Chadar, Iss Lahad Par Chadhaaogi Tum Shaam Ki Auraton Aik Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum Shaam Ki Auraton Aik Waada Karo
Aik Yasrab Ki Thi Shaahzaadi, Uska Saqqa Tha Abbas Ghaazi Mashq Laikar Gaya Su-e-Dariyaa, Aur Qabze Mai Karli Taraayi Loriyon Mai Yeh Sachi Kahaani, Roz Isko Sunaaogi Tum Shaam Ki Auraton Aik Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum Shaam Ki Auraton Aik Waada Karo
Hamne Zindaan Se Paayi Rihaai, Ab Behen Paas Hogi Na Bhai Baat Itni Si Bas Yaad Rakhna, Meri Bacchi Hai Gham Ki Sataayi Tumne Bazaar Main Toh Sataaya, Ab Na Isko Sataaogi Tum Shaam Ki Auraton Aik Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum Shaam Ki Auraton Aik Waada Karo
Jab Kabhi Qaid Khane Main Aana, Beridaa Bibiyon Ko Na Laana Tumko Asghar Bhi Dega Duaaen, Iski Tanhaiyaan Yun Mitaana Chhote Chhote Se Baccho Ko Laakar, Paas Iske Sulaaogi Tum Shaam Ki Auraton Aik Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum Shaam Ki Auraton Aik Waada Karo
Qabre Bekas Pe Aansun Bahaane, Haal Qaide Sitam Ka Sunaane Qaafla Karbala Ko Chalaa Hai, Iske Baba Ka Chehlum Manaane Itna Kehdo Hamaari Taraf Se, Iska Chehlum Manaaogi Tum Shaam Ki Auraton Aik Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum Shaam Ki Auraton Aik Waada Karo
Shaamiyon Ki Bahu Betiyon Se, Keh Rahi Thi Woh Akber Yeh Roke Yeh Amaanat hai Pardesiyon Ki, Kar Rahi Hun Tumhaare Hawaale Mujhse Ik Baar Bas Itna Kehdo, Apna Waada Nibhaaogi Tum Shaam Ki Auraton Aik Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum Shaam Ki Auraton Aik Waada Karo |